fitna phir aaj uthaane ko hai sar lagta hai | फ़ित्ना फिर आज उठाने को है सर लगता है - Anand Narayan Mulla

fitna phir aaj uthaane ko hai sar lagta hai
khoon hi khoon mujhe rang-e-sehar lagta hai

ilm ki dev-qadee dekh ke dar lagta hai
aasmaanon se ab insaan ka sar lagta hai

mujh ko lagta hai nasheeman ki mere khair nahin
jab kisi shaakh pe gulshan mein tabar lagta hai

maan lo kaise ki main aib saraapa hoon faqat
mere ahbaab ka ye husn-e-nazar lagta hai

kal jise phoonka tha ya kah ke ki dushman ka hai ghar
sochta hoon to vo aaj apna hi ghar lagta hai

fan hai vo rog jo lagta nahin sab ko lekin
jis ko lagta hai use zindagi-bhar lagta hai

ehtiyaatan koi dar phod len deewaar mein aur
shor badhta hua kuch jaanib-e-dar lagta hai

ek darwaaza hai har-samt nikalne ke liye
ho na ho ye to mujhe shaikh ka ghar lagta hai

chaman-e-she'r mein hoon ik shajar-e-zinda magar
abhi mulla meri daali ye samar lagta hai

फ़ित्ना फिर आज उठाने को है सर लगता है
ख़ून ही ख़ून मुझे रंग-ए-सहर लगता है

इल्म की देव-क़दी देख के डर लगता है
आसमानों से अब इंसान का सर लगता है

मुझ को लगता है नशेमन की मिरे ख़ैर नहीं
जब किसी शाख़ पे गुलशन में तबर लगता है

मान लो कैसे कि मैं ऐब सरापा हूँ फ़क़त
मेरे अहबाब का ये हुस्न-ए-नज़र लगता है

कल जिसे फूँका था या कह के कि दुश्मन का है घर
सोचता हूँ तो वो आज अपना ही घर लगता है

फ़न है वो रोग जो लगता नहीं सब को लेकिन
जिस को लगता है उसे ज़िंदगी-भर लगता है

एहतियातन कोई दर फोड़ लें दीवार में और
शोर बढ़ता हुआ कुछ जानिब-ए-दर लगता है

एक दरवाज़ा है हर-सम्त निकलने के लिए
हो न हो ये तो मुझे शैख़ का घर लगता है

चमन-ए-शे'र में हूँ इक शजर-ए-ज़िंदा मगर
अभी 'मुल्ला' मिरी डाली ये समर लगता है

- Anand Narayan Mulla
0 Likes

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari