nazar khamosh hui arz-e-na-tamaam ke ba'ad | नज़र ख़मोश हुई अर्ज़-ए-ना-तमाम के बा'द - Anand Narayan Mulla

nazar khamosh hui arz-e-na-tamaam ke ba'ad
kuchh aur kah na sake ashk-e-be-kalaam ke ba'ad

ye mughbache tire saaqi abhi hain kheera bahut
har ek jaam-e-tahi aur sala-e-aam ke ba'ad

bas itni baat ke kya kya hain bazm mein charche
vo muskuraa se diye the mere salaam ke ba'ad

namaaz-e-jaam padhi shaikh ne nahin lekin
ajab sa noor hai rukh par tuloo-e-shaam ke ba'ad

har ik naza'a ka hal intiqaam hi hai abhi
magar sawaal to ye hai ki intiqaam ke ba'ad

ye lag raha hai ki jaise bichhad rahi hai hayaat
palat palat ke nigaahen hain gaam gaam ke ba'ad

kisi mahal kisi waadi kisi chaman mein nahin
vo gul jo dil mein mahakta hai nek kaam ke ba'ad

ghuroor-e-tishna-labi bhi hai koi shay saaqi
taqaza ham nahin karne ke jaam jaam ke ba'ad

ye sach nahin ki mere dil mein aur naam nahin
magar ye sach hai ki ye sab hain tere naam ke ba'ad

hai zeest zeest usi ki ki jis ke baazu ko
uroos-e-subh bhi dhunde nigaar-e-shaam ke ba'ad

badalti qadron mein kuchh hoon ki kuchh nahin mulla
sawaaliya sa nishaan hoon khud apne naam ke ba'ad

नज़र ख़मोश हुई अर्ज़-ए-ना-तमाम के बा'द
कुछ और कह न सके अश्क-ए-बे-कलाम के बा'द

ये मुग़बचे तिरे साक़ी अभी हैं ख़ीरा बहुत
हर एक जाम-ए-तही और सला-ए-आम के बा'द

बस इतनी बात के क्या क्या हैं बज़्म में चर्चे
वो मुस्कुरा से दिए थे मिरे सलाम के बा'द

नमाज़-ए-जाम पढ़ी शैख़ ने नहीं लेकिन
अजब सा नूर है रुख़ पर तुलू-ए-शाम के बा'द

हर इक नज़ाअ' का हल इंतिक़ाम ही है अभी
मगर सवाल तो ये है कि इंतिक़ाम के बा'द

ये लग रहा है कि जैसे बिछड़ रही है हयात
पलट पलट के निगाहें हैं गाम गाम के बा'द

किसी महल किसी वादी किसी चमन में नहीं
वो गुल जो दिल में महकता है नेक काम के बा'द

ग़ुरूर-ए-तिश्ना-लबी भी है कोई शय साक़ी
तक़ाज़ा हम नहीं करने के जाम जाम के बा'द

ये सच नहीं कि मिरे दिल में और नाम नहीं
मगर ये सच है कि ये सब हैं तेरे नाम के बा'द

है ज़ीस्त ज़ीस्त उसी की कि जिस के बाज़ू को
उरूस-ए-सुब्ह भी ढूँडे निगार-ए-शाम के बा'द

बदलती क़द्रों में कुछ हूँ कि कुछ नहीं 'मुल्ला'
सवालिया सा निशाँ हूँ ख़ुद अपने नाम के बा'द

- Anand Narayan Mulla
0 Likes

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari