kyun na ho zikr mohabbat ka mare naam ke saath
umr kaatee hai isee dard-e-dil-aaraam ke saath
mujh ko duniya se nahin apni tabaahi ka gila
main ne khud saaz kiya gardish-e-ayyaam ke saath
ab wahi zeest mein hai ye mere dil ka aalam
jaise kuchh chhoota jaata hai har ik gaam ke saath
tujh se shikwa nahin saaqi tiri sahaba ne magar
dushmani koi nikaali hai mere jaam ke saath
jo kare fikr-e-rihaai wahi dushman thehre
uns ho jaaye na taair ko kisi daam ke saath
zeest ke dard ka ehsaas kabhi mit na saka
sin khushi ke bhi kate ik gham-e-be-naam ke saath
man-e-taqseer kahoon daawat-e-taqseer kahoon
nigaah-e-narm bhi hai garmi-e-ilzaam ke saath
apni is aaj ki taqat pe na yun itraao
mehr utha tha har ik subh-e-shab-anjaam ke saath
main tujhe bhool chuka hoon magar ab bhi ai dost
aati jaati hai nigaahon mein chamak shaam ke saath
ab bhi kaafi hai ye har shor pe chhaane ke liye
koi ulfat ki azaan de to tire naam ke saath
aa gaya khatm pe sayyaad tira daur-e-fusoon
ab to daana bhi nahin hai qafas-o-daam ke saath
kaakh-o-aivaan yahi guzre hue dauron ke na hon
gard si aayi hai kuchh daaman-e-ayyaam ke saath
main tira ho na saka phir bhi mohabbat main ne
jab bhi duniya ko pukaara to tire naam ke saath
khuld ujadi hai to ab apne farishton se basa
ham se kya ham to nikale gaye ilzaam ke saath
hujra-e-khuld hai hoor-e-sharar-andaam nahin
saaqiya aatish-e-rangeen bhi zara jaam ke saath
zikr-e-'mulla bhi ab aata to hai mehfil mein magar
feeki taarif mein lipate hue dushnaam ke saath
meri koshish hai ki sher'on mein samo doon mulla
subh ka hosh bhi deevaangi-e-shaam ke saath
do kinaaron ke hoon maabain mein ik pal mulla
rakhta jaata hoon sutoon ek har ik gaam ke saath
क्यूँ न हो ज़िक्र मोहब्बत का मरे नाम के साथ
उम्र काटी है इसी दर्द-ए-दिल-आराम के साथ
मुझ को दुनिया से नहीं अपनी तबाही का गिला
मैं ने ख़ुद साज़ किया गर्दिश-ए-अय्याम के साथ
अब वही ज़ीस्त में है ये मिरे दिल का आलम
जैसे कुछ छूटता जाता है हर इक गाम के साथ
तुझ से शिकवा नहीं साक़ी तिरी सहबा ने मगर
दुश्मनी कोई निकाली है मिरे जाम के साथ
जो करे फ़िक्र-ए-रिहाई वही दुश्मन ठहरे
उन्स हो जाए न ताइर को किसी दाम के साथ
ज़ीस्त के दर्द का एहसास कभी मिट न सका
सिन ख़ुशी के भी कटे इक ग़म-ए-बे-नाम के साथ
मन-ए-तक़्सीर कहूँ दावत-ए-तक़्सीर कहूँ
निगह-ए-नर्म भी है गर्मी-ए-इल्ज़ाम के साथ
अपनी इस आज की ताक़त पे न यूँ इतराओ
मेहर उट्ठा था हर इक सुब्ह-ए-शब-अंजाम के साथ
मैं तुझे भूल चुका हूँ मगर अब भी ऐ दोस्त
आती जाती है निगाहों में चमक शाम के साथ
अब भी काफ़ी है ये हर शोर पे छाने के लिए
कोई उल्फ़त की अज़ाँ दे तो तिरे नाम के साथ
आ गया ख़त्म पे सय्याद तिरा दौर-ए-फ़ुसूँ
अब तो दाना भी नहीं है क़फ़स-ओ-दाम के साथ
काख़-ओ-ऐवाँ यही गुज़रे हुए दौरों के न हों
गर्द सी आई है कुछ दामन-ए-अय्याम के साथ
मैं तिरा हो न सका फिर भी मोहब्बत मैं ने
जब भी दुनिया को पुकारा तो तिरे नाम के साथ
ख़ुल्द उजड़ी है तो अब अपने फ़रिश्तों से बसा
हम से क्या हम तो निकाले गए इल्ज़ाम के साथ
हुजरा-ए-ख़ुल्द है हूर-ए-शरर-अंदाम नहीं
साक़िया आतिश-ए-रंगीं भी ज़रा जाम के साथ
ज़िक्र-ए-'मुल्ला' भी अब आता तो है महफ़िल में मगर
फीकी तारीफ़ में लिपटे हुए दुश्नाम के साथ
मेरी कोशिश है कि शे'रों में समो दूँ 'मुल्ला'
सुब्ह का होश भी दीवानगी-ए-शाम के साथ
दो किनारों के हूँ माबैन में इक पल 'मुल्ला'
रखता जाता हूँ सुतूँ एक हर इक गाम के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla
our suggestion based on Anand Narayan Mulla
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari