duniya hai ye kisi ka na is mein qusoor tha | दुनिया है ये किसी का न इस में क़ुसूर था

  - Anand Narayan Mulla

duniya hai ye kisi ka na is mein qusoor tha
do doston ka mil ke bichadna zaroor tha

us ke karam pe shak tujhe zaahid zaroor tha
warna tira qusoor na karna qusoor tha

tum door jab talak the to naghma bhi tha fugaan
tum paas aa gaye to alam bhi suroor tha

us ik nazar ke bazm mein qisse bane hazaar
utna samajh saka jise jitna shooor tha

ik dars thi kisi ki ye fankaari-e-nigaah
koi na zad mein tha na koi zad se door tha

bas dekhne hi mein theen nigaahen kisi ki talkh
sheerin sa ik payaam bhi bainssootoor tha

peete to ham ne shaikh ko dekha nahin magar
nikla jo may-kade se to chehre pe noor tha

mulla ka masjidoon mein to ham ne suna na naam
zikr us ka may-kadon mein magar door door tha

दुनिया है ये किसी का न इस में क़ुसूर था
दो दोस्तों का मिल के बिछड़ना ज़रूर था

उस के करम पे शक तुझे ज़ाहिद ज़रूर था
वर्ना तिरा क़ुसूर न करना क़ुसूर था

तुम दूर जब तलक थे तो नग़्मा भी था फ़ुग़ाँ
तुम पास आ गए तो अलम भी सुरूर था

उस इक नज़र के बज़्म में क़िस्से बने हज़ार
उतना समझ सका जिसे जितना शुऊर था

इक दर्स थी किसी की ये फ़नकारी-ए-निगाह
कोई न ज़द में था न कोई ज़द से दूर था

बस देखने ही में थीं निगाहें किसी की तल्ख़
शीरीं सा इक पयाम भी बैनस्सुतूर था

पीते तो हम ने शैख़ को देखा नहीं मगर
निकला जो मय-कदे से तो चेहरे पे नूर था

'मुल्ला' का मस्जिदों में तो हम ने सुना न नाम
ज़िक्र उस का मय-कदों में मगर दूर दूर था

  - Anand Narayan Mulla

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari