ye dil aawezee-e-hayaat na ho | ये दिल आवेज़ी-ए-हयात न हो

  - Anand Narayan Mulla

ye dil aawezee-e-hayaat na ho
agar aahang-e-haadsaat na ho

teri naarazgi qubool magar
ye bhi kya bhool kar bhi baat na ho

zeest mein vo ghadi na aaye ki jab
haath mein mere tera haath na ho

hansne waale rula na auron ko
subh teri kisi ki raat na ho

ishq bhi kaam ki hai cheez agar
yahi bas dil ki kaayenaat na ho

kaun us ki jafaa ki laaye taab
gahe gahe jo iltifaat na ho

rind kuchh kar rahe hain sargoshi
zikr-e-'mulla se khush-sifaat na ho

ये दिल आवेज़ी-ए-हयात न हो
अगर आहंग-ए-हादसात न हो

तेरी नाराज़गी क़ुबूल मगर
ये भी क्या भूल कर भी बात न हो

ज़ीस्त में वो घड़ी न आए कि जब
हात में मेरे तेरा हात न हो

हँसने वाले रुला न औरों को
सुब्ह तेरी किसी की रात न हो

इश्क़ भी काम की है चीज़ अगर
यही बस दिल की काएनात न हो

कौन उस की जफ़ा की लाए ताब
गाहे गाहे जो इल्तिफ़ात न हो

रिंद कुछ कर रहे हैं सरगोशी
ज़िक्र-ए-'मुल्ला' से ख़ुश-सिफ़ात न हो

  - Anand Narayan Mulla

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari