meri baaton pe duniya ki hasi kam hoti jaati hai | मिरी बातों पे दुनिया की हँसी कम होती जाती है - Anand Narayan Mulla

meri baaton pe duniya ki hasi kam hoti jaati hai
meri deewaangi shaayad musallam hoti jaati hai

tavajjoh ki nazar meri taraf kam hoti jaati hai
main khush hoon ishq ki buniyaad mohkam hoti jaati hai

zaroorat kuch bhi kehne ki bahut kam hoti jaati hai
meri soorat hi ab shauq-e-mujassam hoti jaati hai

kabhi tu ne pukaara tha mujhe kuch shak sa hota hai
mere kaanon mein ik awaaz paiham hoti jaati hai

mujhe samjhaane aaye hain ki main rone se baaz aaun
mere samjhaane waalon ki nazar nam hoti jaati hai

abhi sun lo to shaayad sun sako tum dil ke nagmon ko
ki ab us ki sada kuch khud-b-khud kam hoti jaati hai

wahi dil hai magar ab vo nahin agli si betaabi
wahi khun hai magar raftaar madhham hoti jaati hai

tujhe mazhab mitaana hi padega roo-e-hasti se
tire haathon bahut tauheen-e-aadam hoti jaati hai

nashaat-e-zeest ki zaamin hai ab yaad-e-mohabbat hi
yahi khud ishq ke zakhamon ka marham hoti jaati hai

mohabbat hi se kholo tum dil-e-'mulla ka darwaaza
yahi is ke liye ab ism-e-aazam hoti jaati hai

मिरी बातों पे दुनिया की हँसी कम होती जाती है
मिरी दीवानगी शायद मुसल्लम होती जाती है

तवज्जोह की नज़र मेरी तरफ़ कम होती जाती है
मैं ख़ुश हूँ इश्क़ की बुनियाद मोहकम होती जाती है

ज़रूरत कुछ भी कहने की बहुत कम होती जाती है
मिरी सूरत ही अब शौक़-ए-मुजस्सम होती जाती है

कभी तू ने पुकारा था मुझे कुछ शक सा होता है
मिरे कानों में इक आवाज़ पैहम होती जाती है

मुझे समझाने आए हैं कि मैं रोने से बाज़ आऊँ
मिरे समझाने वालों की नज़र नम होती जाती है

अभी सुन लो तो शायद सुन सको तुम दिल के नग़्मों को
कि अब उस की सदा कुछ ख़ुद-ब-ख़ुद कम होती जाती है

वही दिल है मगर अब वो नहीं अगली सी बेताबी
वही ख़ूँ है मगर रफ़्तार मद्धम होती जाती है

तुझे मज़हब मिटाना ही पड़ेगा रू-ए-हस्ती से
तिरे हाथों बहुत तौहीन-ए-आदम होती जाती है

नशात-ए-ज़ीस्त की ज़ामिन है अब याद-ए-मोहब्बत ही
यही ख़ुद इश्क़ के ज़ख़्मों का मरहम होती जाती है

मोहब्बत ही से खोलो तुम दिल-ए-'मुल्ला' का दरवाज़ा
यही इस के लिए अब इस्म-ए-आज़म होती जाती है

- Anand Narayan Mulla
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari