har inqilaab ki surkhi unhin ke afsaane | हर इंक़लाब की सुर्ख़ी उन्हीं के अफ़्साने

  - Anand Narayan Mulla

har inqilaab ki surkhi unhin ke afsaane
hayaat-e-dehr ka haasil hain chand deewane

khuda-e-har-do-jahaan khoob hai tiri taqseem
zameen pe dair-o-haram aur falak pe maykhaane

hamaari ja bhi kahi hai khuda-e-dair-o-haram
haram mein gair hain aur but-kade mein begaane

na pooch daur-e-haqeeqat ki sakhtiyon ko na pooch
taras gaye lab-e-afsaana-go ko afsaane

ye jabr zist-e-mohabbat pe kab talak aakhir
ki dil salaam karein aur nazar na pahchaane

alag alag se ufuq par hain chhote chhote ghubaar
ye kaarwaan ko mere kya hua khuda jaane

nizaam-e-maykada saaqi chalega yun kab tak
chhalk rahe hain suboo aur tahee hain paimaane

हर इंक़लाब की सुर्ख़ी उन्हीं के अफ़्साने
हयात-ए-दहर का हासिल हैं चंद दीवाने

ख़ुदा-ए-हर-दो-जहाँ ख़ूब है तिरी तक़्सीम
ज़मीं पे दैर-ओ-हरम और फ़लक पे मयख़ाने

हमारी जा भी कहीं है ख़ुदा-ए-दैर-ओ-हरम
हरम में ग़ैर हैं और बुत-कदे में बेगाने

न पूछ दौर-ए-हक़ीक़त की सख़्तियों को न पूछ
तरस गए लब-ए-अफ़्साना-गो को अफ़्साने

ये जब्र ज़ीस्त-ए-मोहब्बत पे कब तलक आख़िर
कि दिल सलाम करें और नज़र न पहचाने

अलग अलग से उफ़ुक़ पर हैं छोटे छोटे ग़ुबार
ये कारवाँ को मिरे क्या हुआ ख़ुदा जाने

निज़ाम-ए-मयकदा साक़ी चलेगा यूँ कब तक
छलक रहे हैं सुबू और तही हैं पैमाने

  - Anand Narayan Mulla

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari