aaina-e-rangeen-e-jigar kuchh bhi nahin kya | आईना-ए-रंगीन-ए-जिगर कुछ भी नहीं क्या

  - Anand Narayan Mulla

aaina-e-rangeen-e-jigar kuchh bhi nahin kya
kya husn hi sab kuchh hai nazar kuchh bhi nahin kya

chashm-e-ghalat-andaaz ke shaayaan bhi na thehre
jazb-e-gham-e-pinhan mein asar kuchh bhi nahin kya

nazrein hain kisi ki ki hai ik aatish-e-sayyaal
yun aag lagaane mein khatra kuchh bhi nahin kya

adnaa sa ishaara bhi hai jis ka mujhe ik hukm
us par meri aahon ka asar kuchh bhi nahin kya

maana mere jalne se na aanch aayegi tum par
lekin mere jalne mein zarar kuchh bhi nahin kya

yun bhi koi duniya ki nigaahon se na gir jaaye
mulla ko bura kehne mein dar kuchh bhi nahin kya

आईना-ए-रंगीन-ए-जिगर कुछ भी नहीं क्या
क्या हुस्न ही सब कुछ है नज़र कुछ भी नहीं क्या

चश्म-ए-ग़लत-अंदाज़ के शायाँ भी न ठहरे
जज़्ब-ए-ग़म-ए-पिन्हाँ में असर कुछ भी नहीं क्या

नज़रें हैं किसी की कि है इक आतिश-ए-सय्याल
यूँ आग लगाने में ख़तर कुछ भी नहीं क्या

अदना सा इशारा भी है जिस का मुझे इक हुक्म
उस पर मिरी आहों का असर कुछ भी नहीं क्या

माना मिरे जलने से न आँच आएगी तुम पर
लेकिन मिरे जलने में ज़रर कुछ भी नहीं क्या

यूँ भी कोई दुनिया की निगाहों से न गिर जाए
'मुल्ला' को बुरा कहने में डर कुछ भी नहीं क्या

  - Anand Narayan Mulla

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari