kyun zeest ka har ek fasana badal gaya
ye ham badal gaye ki zamaana badal gaya
sayyaad yaa wahi wahi taair wahi hain daam
lekin jo zer-e-daam tha daana badal gaya
baazi-e-husn-o-ishq mein kuchh haar hai na jeet
nazrein miliin dilon ka khazana badal gaya
bakht-e-bashar wahi hai bisaat-e-jahaan wahi
har daur-e-nau mein maat ka khaana badal gaya
taqat ke dosh par hai azal se bashar ki laash
bas thodi thodi door pe shaana badal gaya
mehfil ke hasb-e-zauq hai mutarib ka saaz bhi
mehfil badal gai to taraana badal gaya
in daagh-ha-e-dil mein koi zakham-e-now nahin
shaayad kisi nazar ka nishaana badal gaya
mulla ko zor-e-tab' hua faislon ki nazr
dariya abhi wahi hai dahana badal gaya
क्यूँ ज़ीस्त का हर एक फ़साना बदल गया
ये हम बदल गए कि ज़माना बदल गया
सय्याद याँ वही वही ताइर वही हैं दाम
लेकिन जो ज़ेर-ए-दाम था दाना बदल गया
बाज़ी-ए-हुस्न-ओ-इश्क़ में कुछ हार है न जीत
नज़रें मिलीं दिलों का ख़ज़ाना बदल गया
बख़्त-ए-बशर वही है बिसात-ए-जहाँ वही
हर दौर-ए-नौ में मात का ख़ाना बदल गया
ताक़त के दोश पर है अज़ल से बशर की लाश
बस थोड़ी थोड़ी दूर पे शाना बदल गया
महफ़िल के हस्ब-ए-ज़ौक़ है मुतरिब का साज़ भी
महफ़िल बदल गई तो तराना बदल गया
इन दाग़-हा-ए-दिल में कोई ज़ख़्म-ए-नौ नहीं
शायद किसी नज़र का निशाना बदल गया
'मुल्ला' को ज़ोर-ए-तब्अ हुआ फ़ैसलों की नज़्र
दरिया अभी वही है दहाना बदल गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla
our suggestion based on Anand Narayan Mulla
As you were reading Nadii Shayari Shayari