khamoshi saaz hoti ja rahi hai
nazar awaaz hoti ja rahi hai
nazar teri jo ik dil ki kiran thi
zamaana-saaz hoti ja rahi hai
nahin aata samajh mein shor-e-hasti
bas ik awaaz hoti ja rahi hai
khamoshi jo kabhi thi parda-e-gham
yahi ghazmaaz hoti ja rahi hai
badi ke saamne neki abhi tak
sipar-andaaz hoti ja rahi hai
ghazal mulla tire sehr-e-bayaan se
ajab ejaz hoti ja rahi hai
ख़मोशी साज़ होती जा रही है
नज़र आवाज़ होती जा रही है
नज़र तेरी जो इक दिल की किरन थी
ज़माना-साज़ होती जा रही है
नहीं आता समझ में शोर-ए-हस्ती
बस इक आवाज़ होती जा रही है
ख़मोशी जो कभी थी पर्दा-ए-ग़म
यही ग़म्माज़ होती जा रही है
बदी के सामने नेकी अभी तक
सिपर-अंदाज़ होती जा रही है
ग़ज़ल 'मुल्ला' तिरे सेहर-ए-बयाँ से
अजब एजाज़ होती जा रही है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla
our suggestion based on Anand Narayan Mulla
As you were reading Protest Shayari Shayari