mere jigar ki taab dekh rukh ki shikastagi na dekh | मिरे जिगर की ताब देख रुख़ की शिकस्तगी न देख

  - Anand Narayan Mulla

mere jigar ki taab dekh rukh ki shikastagi na dekh
fitrat-e-aashiqi samajh qismat-e-aashiqi na dekh

aur nazar wasi'a kar pesh-e-nigaah hi na dekh
maut mein dhundh zindagi zeest mein neesti na dekh

jaise har ik nafs nafs nok-e-sinaan liye hue
ishq ka khwaab dekh le ishq ki zindagi na dekh

main to sara-e-shauq mein dil ka kanwal jala chuka
ab ye tiri khushi ki tu dekh ki raushni na dekh

ek usool yaad rakh saalik-e-raah-e-zindagi
naqsh-o-nigaar-e-dehr dekh mud ke magar kabhi na dekh

apni nigaah fer le haan ye mujhe qubool hai
rakh meri aarzoo ki sharm-e-shauq ki bebaasi na dekh

tujh pe ayaan hai raaz-e-dil jaan ke bin na be-khabar
ma'ni-e-khaamoshi samajh soorat-e-khaamoshi na dekh

mulla ye kya laga liya dil ko hasi hasi mein rog
baat bata rahe the jo ho ke rahi wahi na dekh

मिरे जिगर की ताब देख रुख़ की शिकस्तगी न देख
फ़ितरत-ए-आशिक़ी समझ क़िस्मत-ए-आशिक़ी न देख

और नज़र वसीअ' कर पेश-ए-निगाह ही न देख
मौत में ढूँड ज़िंदगी ज़ीस्त में नीस्ती न देख

जैसे हर इक नफ़स नफ़स नोक-ए-सिनाँ लिए हुए
इश्क़ का ख़्वाब देख ले इश्क़ की ज़िंदगी न देख

मैं तो सरा-ए-शौक़ में दिल का कँवल जला चुका
अब ये तिरी ख़ुशी कि तू देख कि रौशनी न देख

एक उसूल याद रख सालिक-ए-राह-ए-ज़िंदगी
नक़्श-ओ-निगार-ए-दहर देख मुड़ के मगर कभी न देख

अपनी निगाह फेर ले हाँ ये मुझे क़ुबूल है
रख मिरी आरज़ू की शर्म-ए-शौक़ की बेबसी न देख

तुझ पे अयाँ है राज़-ए-दिल जान के बिन न बे-ख़बर
मा'नी-ए-ख़ामुशी समझ सूरत-ए-ख़ामुशी न देख

'मुल्ला' ये क्या लगा लिया दिल को हँसी हँसी में रोग
बात बता रहे थे जो हो के रही वही न देख

  - Anand Narayan Mulla

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari