cheez dil hai rukh-e-gulfaam mein kya rakha hai
kaif sahaba mein hai khud jaam mein kya rakha hai
gungunata hua dil chahiye jeene ke liye
is naza-e-sehr-o-shaam mein kya rakha hai
kaun kis tarah se hota hai hareef-e-may-e-zeest
aur talkhaaba-e-ayyaam mein kya rakha hai
ishq karta hai to kar aur nigaahon ko buland
rishta-e-rahguzar-o-baam mein kya rakha hai
murgh-e-aazaad hua kya tiri khuddaari ko
chand daano ke siva daam mein kya rakha hai
husn fankaar ki ik chhed hai ishq-e-naadaan
bewafaai ke is ilzaam mein kya rakha hai
dekhna ye hai ki vo dil mein makeen hai ki nahin
chahe jis naam se ho naam mein kya rakha hai
den mere zauq-e-parastish ko duaaein mulla
warna patthar ke in asnaam mein kya rakha hai
चीज़ दिल है रुख़-ए-गुलफ़ाम में क्या रक्खा है
कैफ़ सहबा में है ख़ुद जाम में क्या रक्खा है
गुनगुनाता हुआ दिल चाहिए जीने के लिए
इस नज़ा-ए-सह्र-ओ-शाम में क्या रक्खा है
कौन किस तरह से होता है हरीफ़-ए-मय-ए-ज़ीस्त
और तल्ख़ाबा-ए-अय्याम में क्या रक्खा है
इश्क़ करता है तो कर और निगाहों को बुलंद
रिश्ता-ए-रहगुज़र-ओ-बाम में क्या रक्खा है
मुर्ग़-ए-आज़ाद हुआ क्या तिरी ख़ुद्दारी को
चंद दानों के सिवा दाम में क्या रक्खा है
हुस्न फ़नकार की इक छेड़ है इश्क़-ए-नादाँ
बेवफ़ाई के इस इल्ज़ाम में क्या रक्खा है
देखना ये है कि वो दिल में मकीं है कि नहीं
चाहे जिस नाम से हो नाम में क्या रक्खा है
दें मिरे ज़ौक़-ए-परस्तिश को दुआएँ 'मुल्ला'
वर्ना पत्थर के इन असनाम में क्या रक्खा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla
our suggestion based on Anand Narayan Mulla
As you were reading Ulfat Shayari Shayari