jhijak izhaar-e-arman ki b-aasaani nahin jaati | झिजक इज़हार-ए-अरमाँ की ब-आसानी नहीं जाती

  - Anand Narayan Mulla

jhijak izhaar-e-arman ki b-aasaani nahin jaati
khud apne shauq ki dil se pashemaani nahin jaati

tadap sheeshe ke tukde bhi uda lete hain heere ki
mohabbat ki nazar jaldi se pahchaani nahin jaati

ufuq par noor rah jaata hai suraj doobne par bhi
ki dil bujh kar bhi nazaron ki darkhshaani nahin jaati

soo-e-dil aa ke ab chashm-e-karam bhi kya bana legi
shua-e-mehr se sehra ki veeraani nahin jaati

ye bazm-e-dair-o-kaaba hai nahin kuchh sehan-e-may-khaana
zara awaaz goonji aur pahchaani nahin jaati

kisi ke lutf-e-be-paayaan ne kuchh yun soo-e-dil dekha
ki ab naa-karda jurmon ki pashemaani nahin jaati

taghaaful par na ja us ke taghaaful ek dhoka hai
nigaah-e-dost ki tahreek-e-pinhaani nahin jaati

nazar jhooti shabaab andha vo husn ik naqsh-e-faani hai
haqeeqat hai to ho lekin abhi maani nahin jaati

mayassar hai har ik eemaan mein mujh ko zauq ka sajda
koi mazhab bhi ho buniyaad-e-insaani nahin jaati

nazar jis ki taraf kar ke nigaahen fer lete ho
qayamat tak phir us dil ki pareshaani nahin jaati

na samjho zabt-e-girya se khata par main nahin naadim
ki aansu ponch lene se pashemaani nahin jaati

na poncho tajrabaat-e-zindagaani chot lagti hai
nazar ab dost aur dushman ki pahchaani nahin jaati

zamaana karvaton par karvatein leta hai aur mulla
tiri ab tak vo khwaab-aavar ghazal-khwaani nahin jaati

झिजक इज़हार-ए-अरमाँ की ब-आसानी नहीं जाती
ख़ुद अपने शौक़ की दिल से पशेमानी नहीं जाती

तड़प शीशे के टुकड़े भी उड़ा लेते हैं हीरे की
मोहब्बत की नज़र जल्दी से पहचानी नहीं जाती

उफ़ुक़ पर नूर रह जाता है सूरज डूबने पर भी
कि दिल बुझ कर भी नज़रों की दरख़शानी नहीं जाती

सू-ए-दिल आ के अब चश्म-ए-करम भी क्या बना लेगी
शुआ-ए-मेहर से सहरा की वीरानी नहीं जाती

ये बज़्म-ए-दैर-ओ-काबा है नहीं कुछ सेहन-ए-मय-ख़ाना
ज़रा आवाज़ गूँजी और पहचानी नहीं जाती

किसी के लुत्फ़-ए-बे-पायाँ ने कुछ यूँ सू-ए-दिल देखा
कि अब ना-कर्दा जुर्मों की पशेमानी नहीं जाती

तग़ाफ़ुल पर न जा उस के तग़ाफ़ुल एक धोका है
निगाह-ए-दोस्त की तहरीक-ए-पिन्हानी नहीं जाती

नज़र झूटी शबाब अंधा वो हुस्न इक नक़्श-ए-फ़ानी है
हक़ीक़त है तो हो लेकिन अभी मानी नहीं जाती

मयस्सर है हर इक ईमाँ में मुझ को ज़ौक़ का सज्दा
कोई मज़हब भी हो बुनियाद-ए-इंसानी नहीं जाती

नज़र जिस की तरफ़ कर के निगाहें फेर लेते हो
क़यामत तक फिर उस दिल की परेशानी नहीं जाती

न समझो ज़ब्त-ए-गिर्या से ख़ता पर मैं नहीं नादिम
कि आँसू पोंछ लेने से पशेमानी नहीं जाती

न पोंछो तजरबात-ए-ज़िंदगानी चोट लगती है
नज़र अब दोस्त और दुश्मन की पहचानी नहीं जाती

ज़माना करवटों पर करवटें लेता है और 'मुल्ला'
तिरी अब तक वो ख़्वाब-आवर ग़ज़ल-ख़्वानी नहीं जाती

  - Anand Narayan Mulla

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari