armaan ko chhupaane se museebat mein hai jaan aur
shole ko dabate hain to uthata hai dhuaan aur
inkaar kiye jaao isee taur se haan aur
honton pe hai kuchh aur nigaahon se ayaan aur
khud tu ne badhaai hai ye tafreeq-e-jahaan aur
tu ek magar roop yahan aur wahan aur
dil mein koi guncha kabhi khilte nahin dekha
is baagh mein kya aa ke bana legi khizaan aur
itna bhi mere ahad-e-wafaa par na karo shak
haan haan main samajhta hoon ki hai rasm-e-jahaan aur
har lab pe tira naam hai ik main hoon ki chup hoon
duniya ki zabaan aur hai aashiq ki zabaan aur
ab koi sada meri sada par nahin deta
aawaaz-e-tarab aur thi aawaaz-e-ghughaan aur
kuchh door pe milti hain hadein arz-o-sama ki
sehra-e-talab mein nahin manzil ka nishaan aur
ik aah aur ik ashk pe hai qissaa-e-dil khatm
rakhti nahin alfaaz-e-mohabbat ki zabaan aur
vo subh ke taare ki jhapakne si lagi aankh
kuchh der zara deeda-e-anjum-nigaraan aur
mulla wahi tum aur wahi koo-e-haseenaan
jaise kabhi duniya mein na tha koi jawaan aur
अरमाँ को छुपाने से मुसीबत में है जाँ और
शोले को दबाते हैं तो उठता है धुआँ और
इंकार किए जाओ इसी तौर से हाँ और
होंटों पे है कुछ और निगाहों से अयाँ और
ख़ुद तू ने बढ़ाई है ये तफ़रीक़-ए-जहाँ और
तू एक मगर रूप यहाँ और वहाँ और
दिल में कोई ग़ुंचा कभी खिलते नहीं देखा
इस बाग़ में क्या आ के बना लेगी ख़िज़ाँ और
इतना भी मिरे अहद-ए-वफ़ा पर न करो शक
हाँ हाँ मैं समझता हूँ कि है रस्म-ए-जहाँ और
हर लब पे तिरा नाम है इक मैं हूँ कि चुप हूँ
दुनिया की ज़बाँ और है आशिक़ की ज़बाँ और
अब कोई सदा मेरी सदा पर नहीं देता
आवाज़-ए-तरब और थी आवाज़-ए-फ़ुग़ाँ और
कुछ दूर पे मिलती हैं हदें अर्ज़-ओ-समा की
सहरा-ए-तलब में नहीं मंज़िल का निशाँ और
इक आह और इक अश्क पे है क़िस्सा-ए-दिल ख़त्म
रखती नहीं अल्फ़ाज़-ए-मोहब्बत की ज़बाँ और
वो सुब्ह के तारे की झपकने सी लगी आँख
कुछ देर ज़रा दीदा-ए-अंजुम-निगराँ और
'मुल्ला' वही तुम और वही कू-ए-हसीनाँ
जैसे कभी दुनिया में न था कोई जवाँ और
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla
our suggestion based on Anand Narayan Mulla
As you were reading Aashiq Shayari Shayari