insaan ke liye is duniya mein dushnaam se bachna mushkil hai | इंसान के लिए इस दुनिया में दुश्नाम से बचना मुश्किल है - Anand Narayan Mulla

insaan ke liye is duniya mein dushnaam se bachna mushkil hai
taqseer se bachna mumkin hai ilzaam se bachna mushkil hai

taair ke liye dushwaar nahin sayyaad-o-qafas se door rahe
lekin jo shakl-e-nasheman hai us daam se bachna mushkil hai

daaman ko bacha bhi len shaayad sehra ke nukeele kaanton se
gulshan ke magar gul-ha-e-sharar-andaam se bachna mushkil hai

is haadisa-gaah-e-hasti mein takraayenge do dil kuch bhi karo
pariyon ke liye vo laakh uddein gulfaam se bachna mushkil hai

awhaam ki taarikee to mita sakte hain jala kar shama-e-khirad
lekin khud aql ke zaa'ida awhaam se bachna mushkil hai

ai arz-e-sehr ke raah-ravo manzil pe pahunchne se pehle
har qaafila jis ne loot liya us shaam se bachna mushkil hai

kuch qatra-e-may oopar oopar phir dard hi dard andar andar
aaghaaz-e-mohabbat khoob magar anjaam se bachna mushkil hai

ik khun aur gosht ke insaan ka ma'bood tiri jannat ki qasam
huroon se churaana aankh aasaan asnaam se bachna mushkil hai

insaan ki hai aulaad agar vo mulla ho ya aur koi
hangaam-e-jawaani falsafa-e-'khayyaam se bachna mushkil hai

इंसान के लिए इस दुनिया में दुश्नाम से बचना मुश्किल है
तक़्सीर से बचना मुमकिन है इल्ज़ाम से बचना मुश्किल है

ताइर के लिए दुश्वार नहीं सय्याद-ओ-क़फ़स से दूर रहे
लेकिन जो शक्ल-ए-नशेमन है उस दाम से बचना मुश्किल है

दामन को बचा भी लें शायद सहरा के नुकीले काँटों से
गुलशन के मगर गुल-हा-ए-शरर-अंदाम से बचना मुश्किल है

इस हादिसा-गाह-ए-हस्ती में टकराएँगे दो दिल कुछ भी करो
परियों के लिए वो लाख उड़ें गुलफ़ाम से बचना मुश्किल है

औहाम की तारीकी तो मिटा सकते हैं जला कर शम्अ-ए-ख़िरद
लेकिन ख़ुद अक़्ल के ज़ाईदा औहाम से बचना मुश्किल है

ऐ अर्ज़-ए-सहर के राह-रवो मंज़िल पे पहुँचने से पहले
हर क़ाफ़िला जिस ने लूट लिया उस शाम से बचना मुश्किल है

कुछ क़तरा-ए-मय ऊपर ऊपर फिर दर्द ही दर्द अंदर अंदर
आग़ाज़-ए-मोहब्बत ख़ूब मगर अंजाम से बचना मुश्किल है

इक ख़ूँ और गोश्त के इंसाँ का मा'बूद तिरी जन्नत की क़सम
हूरों से चुराना आँख आसाँ असनाम से बचना मुश्किल है

इंसान की है औलाद अगर वो 'मुल्ला' हो या और कोई
हंगाम-ए-जवानी फ़लसफ़ा-ए-'ख़य्याम' से बचना मुश्किल है

- Anand Narayan Mulla
0 Likes

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari