parde ko jo lau de vo jhalak aur hi kuchh hai | पर्दे को जो लौ दे वो झलक और ही कुछ है

  - Anand Narayan Mulla

parde ko jo lau de vo jhalak aur hi kuchh hai
na-deeda hai shola to lapak aur hi kuchh hai

takraate hue jaam bhi dete hain khanak si
ladti hain nigaahen to khanak aur hi kuchh hai

ishrat-gah-e-daulat bhi hai gahvaara-e-nikhat
mehnat ke paseene ki mahak aur hi kuchh hai

haan josh jawaani bhi hai ik khuld-e-nazaara
ik tifl ki ma'soom humak aur hi kuchh hai

shab ko bhi mehkati to hain ye adh-khilee kaliyaan
jab choom len kirnen to mahak aur hi kuchh hai

kamzor to jhukta hi hai qaanoon ke aage
taqat kabhi lachke to lachak aur hi kuchh hai

ashkon se bhi ho jaata hai aankhon mein charaaghaan
bin-barsi nigaahon ki chamak aur hi kuchh hai

ro kar bhi thake jism ko neend aati hai lekin
bacche ke liye maa ki thapak aur hi kuchh hai

bazm-e-adab-e-hind ke har gul mein hai khushboo
mulla gul-e-urdu ki mahak aur hi kuchh hai

पर्दे को जो लौ दे वो झलक और ही कुछ है
नादीदा है शो'ला तो लपक और ही कुछ है

टकराते हुए जाम भी देते हैं खनक सी
लड़ती हैं निगाहें तो खनक और ही कुछ है

इशरत-गह-ए-दौलत भी है गहवारा-ए-निकहत
मेहनत के पसीने की महक और ही कुछ है

हाँ जोश जवानी भी है इक ख़ुल्द-ए-नज़ारा
इक तिफ़्ल की मा'सूम हुमक और ही कुछ है

शब को भी महकती तो हैं ये अध-खिली कलियाँ
जब चूम लें किरनें तो महक और ही कुछ है

कमज़ोर तो झुकता ही है क़ानून के आगे
ताक़त कभी लचके तो लचक और ही कुछ है

अश्कों से भी हो जाता है आँखों में चराग़ाँ
बिन-बरसी निगाहों की चमक और ही कुछ है

रो कर भी थके जिस्म को नींद आती है लेकिन
बच्चे के लिए माँ की थपक और ही कुछ है

बज़्म-ए-अदब-ए-हिन्द के हर गुल में है ख़ुश्बू
'मुल्ला' गुल-ए-उर्दू की महक और ही कुछ है

  - Anand Narayan Mulla

Shaheed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Shaheed Shayari Shayari