junoon ka daur hai kis kis ko jaayen samjhaane
udhar bhi hosh ke dushman idhar bhi deewane
karam karam hai to hai faiz-e-aam is ka shi'aar
ye dasht hai vo gulistaan sahaab kya jaane
kisi mein dam nahin ahl-e-sitam se kuchh bhi kahe
sitam-zadon ko har ik aa raha hai samjhaane
bashar ke zauq-e-parastish ne khud kiye takhleeq
khuda-o-ka'ba kahi aur kahi sanam-khaane
uljh ke rah gai husn-e-naqaab mein jo nazar
vo husn-e-jalwa-e-zer-e-naqaab kya jaane
is irtiqa-e-tamaddun ko kya kahoon mulla
hain shamaein shokh-tar aawaara-tar hain parwaane
जुनूँ का दौर है किस किस को जाएँ समझाने
उधर भी होश के दुश्मन इधर भी दीवाने
करम करम है तो है फ़ैज़-ए-आम इस का शिआ'र
ये दश्त है वो गुलिस्ताँ सहाब क्या जाने
किसी में दम नहीं अहल-ए-सितम से कुछ भी कहे
सितम-ज़दों को हर इक आ रहा है समझाने
बशर के ज़ौक़-ए-परस्तिश ने ख़ुद किए तख़्लीक़
ख़ुदा-ओ-का'बा कहीं और कहीं सनम-ख़ाने
उलझ के रह गई हुस्न-ए-नक़ाब में जो नज़र
वो हुस्न-ए-जल्वा-ए-ज़ेर-ए-नक़ाब क्या जाने
इस इर्तिक़ा-ए-तमद्दुन को क्या कहूँ 'मुल्ला'
हैं शमएँ शोख़-तर आवारा-तर हैं परवाने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla
our suggestion based on Anand Narayan Mulla
As you were reading Bekhudi Shayari Shayari