saath ho koi to kuch taskin si paata hoon main | साथ हो कोई तो कुछ तस्कीन सी पाता हूँ मैं - Anand Narayan Mulla

saath ho koi to kuch taskin si paata hoon main
tere aage ja ke tanhaa aur ghabraata hoon main

saamne aate hi un ke chup sa ho jaata hoon main
jaise khud apni tamannaon se sharmaata hoon main

ik musalsal zabt hi ka naam shaayad ishq hai
ab to nazaron tak ko aankhon hi mein pee jaata hoon main

dekh sakte kaash tum meri tamannaon ka jashn
jab unhen jhooti ummeedein de ke behlaata hoon

mere pairo'n ko hai kuch raundi hui raahon se bair
jis taraf koi nahin jaata udhar jaata hoon main

ik nigaah-e-lutf aate hi wahi hai haal-e-dil
sab purane tajarbo ko bhool sa jaata hoon main

ye mere ashk-e-musalsal bas musalsal ashk hain
kaun kehta hai tumhaara naam doharaata hoon main

shaam-e-gham kya kya tasavvur ki hain cheera-dastiyaan
haan tumhein bhi tum se bin pooche utha laata hoon main

kaarobaar-e-ishq mein duniya ki jhooti maslahat
mujh ko samjhaate hain vo aur dil ko samjhaata hoon main

saath tere zindagi ka vo tasavvur mein safar
jaise phoolon par qadam rakhta chala jaata hoon main

ranj-e-insaan ki haqeeqat mein to samjha hoon yahi
aaj duniya mein mohabbat ki kami paata hoon main

mere aansu mein khushboo mere har naale mein raag
ab to har ik saans mein shaamil tumhein paata hoon main

ab tamannaa be-sada hai ab nigaahen be-payaam
zindagi ik farz hai jeeta chala jaata hoon main

haaye mulla kab mili khaamoshi-e-ulfat ki daad
koi ab kehta hai kuch un se to yaad aata hoon main

साथ हो कोई तो कुछ तस्कीन सी पाता हूँ मैं
तेरे आगे जा के तन्हा और घबराता हूँ मैं

सामने आते ही उन के चुप सा हो जाता हूँ मैं
जैसे ख़ुद अपनी तमन्नाओं से शरमाता हूँ मैं

इक मुसलसल ज़ब्त ही का नाम शायद इश्क़ है
अब तो नज़रों तक को आँखों ही में पी जाता हूँ मैं

देख सकते काश तुम मेरी तमन्नाओं का जश्न
जब उन्हें झूटी उम्मीदें दे के बहलाता हूँ

मेरे पैरों को है कुछ रौंदी हुई राहों से बैर
जिस तरफ़ कोई नहीं जाता उधर जाता हूँ मैं

इक निगाह-ए-लुत्फ़ आते ही वही है हाल-ए-दिल
सब पुराने तजरबों को भूल सा जाता हूँ मैं

ये मिरे अश्क-ए-मुसलसल बस मुसलसल अश्क हैं
कौन कहता है तुम्हारा नाम दोहराता हूँ मैं

शाम-ए-ग़म क्या क्या तसव्वुर की हैं चीरा-दस्तियाँ
हाँ तुम्हें भी तुम से बिन पूछे उठा लाता हूँ मैं

कारोबार-ए-इश्क़ में दुनिया की झूटी मस्लहत
मुझ को समझाते हैं वो और दिल को समझाता हूँ मैं

साथ तेरे ज़िंदगी का वो तसव्वुर में सफ़र
जैसे फूलों पर क़दम रखता चला जाता हूँ मैं

रंज-ए-इंसाँ की हक़ीक़त में तो समझा हूँ यही
आज दुनिया में मोहब्बत की कमी पाता हूँ मैं

मेरे आँसू में ख़ुश्बू मेरे हर नाले में राग
अब तो हर इक साँस में शामिल तुम्हें पाता हूँ मैं

अब तमन्ना बे-सदा है अब निगाहें बे-पयाम
ज़िंदगी इक फ़र्ज़ है जीता चला जाता हूँ मैं

हाए 'मुल्ला' कब मिली ख़ामोशी-ए-उल्फ़त की दाद
कोई अब कहता है कुछ उन से तो याद आता हूँ मैं

- Anand Narayan Mulla
0 Likes

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari