falak ke na in maah-paaron ko dekho | फ़लक के न इन माह-पारों को देखो

  - Anand Narayan Mulla

falak ke na in maah-paaron ko dekho
jo mitti mein hain un sitaaron ko dekho

kabhi kaarwaan bhi numoodaar hoga
nigaahen jamaaye ghubaron ko dekho

nikal kar kabhi shehr-e-sood-o-ziyaan se
mohabbat ke ujde dayaaron ko dekho

chaman mein ye kis chaal se chal rahe ho
na phoolon ko dekho na khaaron ko dekho

zabaan husn ki mo'tabar kab hui hai
kinaayon ko samjho ishaaron ko dekho

musalleh qataarein idhar bhi udhar bhi
zara amn ki raah-guzaaron ko dekho

chaman ki khizaan par na aansu bahao
nazar hai to kal ki bahaaron ko dekho

na dekho darakhton ki doori chaman mein
liptati hui shaakh-saaron ko dekho

zara jhaank kar gurfah-e-maykada se
tarsate labon ki qataaron ko dekho

kisi ke sitam ko bhi samjhte tavajjoh
are in taghaaful ke maaron ko dekho

vo daur-e-hayaat-e-jahaan aa gaya hai
bhanwar mein raho aur kinaaron ko dekho

badho aur haathon ka ik pal bana lo
kinaaron se kab tak savaaron ko dekho

bina-e-baqa dhamkiyon par fana ki
naye jag ke parwardigaaron ko dekho

kabhi naam-e-'mulla na aaya zabaan tak
ye duniya hai mulla ke yaaron ko dekho

फ़लक के न इन माह-पारों को देखो
जो मिट्टी में हैं उन सितारों को देखो

कभी कारवाँ भी नुमूदार होगा
निगाहें जमाए ग़ुबारों को देखो

निकल कर कभी शहर-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ से
मोहब्बत के उजड़े दयारों को देखो

चमन में ये किस चाल से चल रहे हो
न फूलों को देखो न ख़ारों को देखो

ज़बाँ हुस्न की मो'तबर कब हुई है
किनायों को समझो इशारों को देखो

मुसल्लेह क़तारें इधर भी उधर भी
ज़रा अम्न की राह-गुज़ारों को देखो

चमन की ख़िज़ाँ पर न आँसू बहाओ
नज़र है तो कल की बहारों को देखो

न देखो दरख़्तों की दूरी चमन में
लिपटती हुई शाख़-सारों को देखो

ज़रा झाँक कर ग़ुर्फ़ा-ए-मयकदा से
तरसते लबों की क़तारों को देखो

किसी के सितम को भी समझते तवज्जोह
अरे इन तग़ाफ़ुल के मारों को देखो

वो दौर-ए-हयात-ए-जहाँ आ गया है
भँवर में रहो और किनारों को देखो

बढ़ो और हाथों का इक पल बना लो
किनारों से कब तक सवारों को देखो

बिना-ए-बक़ा धमकीयों पर फ़ना की
नए जग के परवरदिगारों को देखो

कभी नाम-ए-'मुल्ला' न आया ज़बाँ तक
ये दुनिया है 'मुल्ला' के यारों को देखो

  - Anand Narayan Mulla

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari