nigaah-o-dil ka afsaana qareeb-e-ikhtitaam aaya | निगाह-ओ-दिल का अफ़्साना क़रीब-ए-इख़्तिताम आया

  - Anand Narayan Mulla

nigaah-o-dil ka afsaana qareeb-e-ikhtitaam aaya
hamein ab is se kya aayi sehar ya waqt-e-shaam aaya

zabaan-e-ishq par ik cheekh ban kar tera naam aaya
khird ki manzilen tay ho chuki dil ka maqaam aaya

uthaana hai jo patthar rakh ke seene par vo gaam aaya
mohabbat mein tiri tark-e-mohabbat ka maqaam aaya

use aansu na kah ik yaad-e-ayyaam-guzishta hai
meri umr-e-ravaan ko umr-e-rafta ka salaam aaya

zara lau aur dil ki tez kar seela sa ye shola
na raushan kar saka ghar ko na mehfil hi ke kaam aaya

nizaam-e-may-kada saaqi badlne ki zaroorat hai
hazaaron hain safen jin mein na may aayi na jaam aaya

abhi tak said-e-yazdaan-o-sanam aulaad-e-aadam hai
bashar insaan nahin rehta jahaan eemaan ka naam aaya

bahaar aate hi khuun-rezi hui vo sehan-e-gulshan mein
khajil kaante the yun phoolon ko josh-e-intiqaam aaya

bhulaaye aabla-paaon ko baithe the chaman waale
garjati aandhiyaan aayein ki sehra ka salaam aaya

sehar ki hoor ke kya kya ne dekhe khwaab duniya ne
magar ta'beer jab dhundi wahi ifreet-e-shaam aaya

kabhi shaayad usi se rang-e-firdaus-e-bashar paaye
abhi tak to lahu insaan ka shaitan hi ke kaam aaya

mukammal tabsira karta hua ayyaam-e-rafta par
nigaah-e-be-sukhan mein ek ashk-e-be-kalaam aaya

tavaana ko bahaana chahiye shaayad tashaddud ka
phir ik majboor par shoreedagi ka ittihaam aaya

na jaane kitni shamaein gul hui kitne bujhe taare
tab ik khurshed itraata hua bala-e-baam aaya

brahman aab-e-ganga shaikh kausar le uda is se
tire honton ko jab chhoota hua mulla ka jaam aaya

निगाह-ओ-दिल का अफ़्साना क़रीब-ए-इख़्तिताम आया
हमें अब इस से क्या आई सहर या वक़्त-ए-शाम आया

ज़बान-ए-इश्क़ पर इक चीख़ बन कर तेरा नाम आया
ख़िरद की मंज़िलें तय हो चुकीं दिल का मक़ाम आया

उठाना है जो पत्थर रख के सीने पर वो गाम आया
मोहब्बत में तिरी तर्क-ए-मोहब्बत का मक़ाम आया

उसे आँसू न कह इक याद-ए-अय्याम-गुज़िश्ता है
मिरी उम्र-ए-रवाँ को उम्र-ए-रफ़्ता का सलाम आया

ज़रा लौ और दिल की तेज़ कर सीला सा ये शो'ला
न रौशन कर सका घर को न महफ़िल ही के काम आया

निज़ाम-ए-मय-कदा साक़ी बदलने की ज़रूरत है
हज़ारों हैं सफ़ें जिन में न मय आई न जाम आया

अभी तक सैद-ए-यज़्दाँ-ओ-सनम औलाद-ए-आदम है
बशर इंसाँ नहीं रहता जहाँ ईमाँ का नाम आया

बहार आते ही ख़ूँ-रेज़ी हुई वो सेहन-ए-गुलशन में
ख़जिल काँटे थे यूँ फूलों को जोश-ए-इंतिक़ाम आया

भुलाए आब्ला-पाओं को बैठे थे चमन वाले
गरजती आँधियाँ आईं कि सहरा का सलाम आया

सहर की हूर के क्या क्या ने देखे ख़्वाब दुनिया ने
मगर ता'बीर जब ढूँडी वही इफ़रीत-ए-शाम आया

कभी शायद उसी से रंग-ए-फ़िरदौस-ए-बशर पाए
अभी तक तो लहू इंसाँ का शैताँ ही के काम आया

मुकम्मल तब्सिरा करता हुआ अय्याम-ए-रफ़्ता पर
निगाह-ए-बे-सुख़न में एक अश्क-ए-बे-कलाम आया

तवाना को बहाना चाहिए शायद तशद्दुद का
फिर इक मजबूर पर शोरीदगी का इत्तिहाम आया

न जाने कितनी शमएँ गुल हुईं कितने बुझे तारे
तब इक ख़ुर्शेद इतराता हुआ बाला-ए-बाम आया

बरहमन आब-ए-गंगा शैख़ कौसर ले उड़ा इस से
तिरे होंटों को जब छूता हुआ 'मुल्ला' का जाम आया

  - Anand Narayan Mulla

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari