teri ghazlein niree udaasi hai
zindagi kya hai jee udaasi hai
jo tumhein kha rahi hai andar se
aisi bhi kaun sii udaasi hai
mere seene mein pal rahi hai jo
duniya kii aakhiri udaasi hai
aisi kuchh shay nahin thi pehle pehal
mere gham se bani udaasi hai
zindagi ab kuchh aur nahin darkaar
mujhe achhi bhali udaasi hai
mujhe kya lena dena khushiyon se
mujhe to har khushi udaasi hai
sharm se doob marne ka hai maqaam
tere hote khushi udaasi hai
ab koii gham bhi gham nahin lagta
tera gham aakhiri udaasi hai
तेरी ग़ज़लें निरी उदासी है
ज़िंदगी क्या है जी उदासी है
जो तुम्हें खा रही है अंदर से
ऐसी भी कौन सी उदासी है
मेरे सीने में पल रही है जो
दुनिया की आख़िरी उदासी है
ऐसी कुछ शय नहीं थी पहले पहल
मेरे ग़म से बनी उदासी है
ज़िंदगी अब कुछ और नहीं दरकार
मुझे अच्छी भली उदासी है
मुझे क्या लेना देना ख़ुशियों से
मुझे तो हर ख़ुशी उदासी है
शर्म से डूब मरने का है मक़ाम
तेरे होते ख़ुशी उदासी है
अब कोई ग़म भी ग़म नहीं लगता
तेरा ग़म आख़िरी उदासी है
As you were reading Shayari by Anjali Sahar
our suggestion based on Anjali Sahar
As you were reading undefined Shayari