aap ko apna banaate hue dar lagta hai
dil ki duniya bhi basaate hue dar lagta hai
lag na jaaye kahi in phoolon ko duniya ki nazar
daag-e-dil apne dikhaate hue dar lagta hai
ho na jaaye kahi hangaama-e-mashar barpa
apni roodaad sunaate hue dar lagta hai
tapish-e-husn na parwaana bana de mujh ko
us ke nazdeek bhi jaate hue dar lagta hai
ghark ho jaaye na duniya-e-tasawwur apni
ashk-e-gham aankh mein laate hue dar lagta hai
shaghl tha dasht-navardi ka kabhi ai taabaan
ab gulistaan mein bhi jaate hue dar lagta hai
आप को अपना बनाते हुए डर लगता है
दिल की दुनिया भी बसाते हुए डर लगता है
लग न जाए कहीं इन फूलों को दुनिया की नज़र
दाग़-ए-दिल अपने दिखाते हुए डर लगता है
हो न जाए कहीं हंगामा-ए-मशहर बरपा
अपनी रूदाद सुनाते हुए डर लगता है
तपिश-ए-हुस्न न परवाना बना दे मुझ को
उस के नज़दीक भी जाते हुए डर लगता है
ग़र्क़ हो जाए न दुनिया-ए-तसव्वुर अपनी
अश्क-ए-ग़म आँख में लाते हुए डर लगता है
शग़्ल था दश्त-नवर्दी का कभी ऐ 'ताबाँ'
अब गुलिस्ताँ में भी जाते हुए डर लगता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anwar Taban
our suggestion based on Anwar Taban
As you were reading Nazar Shayari Shayari