khat likha tha khwaab mein aur khwaab mein ja kar diya | ख़त लिखा था ख़्वाब में और ख़्वाब में जा कर दिया

  - arjun chamoli

khat likha tha khwaab mein aur khwaab mein ja kar diya
jab na samjhi pyaar ko to pyaar samjha kar diya

pyaar ka tha dard khat mein dard ko jaane nahin
pyaar se chaaha tha uttar haath jhatka kar diya

ham kiye sajda usi ka sar qadam par rakh diye
paanv kheeche us ne peechhe pyaar ruswa kar diya

sahm kar hamne uthaya sar usi kii dhool se
aur poocha kya khata hai khud ko sadqa kar diya

jaan hamaari ab tumhaari qatl kar do haath se
ham kahenge haath chhukar tumne apna kar diya

ख़त लिखा था ख़्वाब में और ख़्वाब में जा कर दिया
जब न समझी प्यार को तो प्यार समझा कर दिया

प्यार का था दर्द ख़त में दर्द को जाने नहीं
प्यार से चाहा था उत्तर हाथ झटका कर दिया

हम किए सज्दा उसी का सर क़दम पर रख दिए
पाँव खींचे उस ने पीछे प्यार रुसवा कर दिया

सहम कर हमने उठाया सर उसी की धूल से
और पूछा क्या ख़ता है ख़ुद को सदक़ा कर दिया

जाँ हमारी अब तुम्हारी क़त्ल कर दो हाथ से
हम कहेंगे हाथ छूकर तुमने अपना कर दिया

  - arjun chamoli

More by arjun chamoli

As you were reading Shayari by arjun chamoli

Similar Writers

our suggestion based on arjun chamoli

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari