ye chingaari mohabbat kii sulag kar aag ban jaaye
ki khud talwaar kya jaane kisi par kab vo tan jaaye
hui baatein tasavvur mein bata do raat tak mujhko
nahin to ye musaafir subah tak apne watan jaaye
tumhaari zulf khulti hai mera dil bhi bahalta hai
agar ye zulf baandhi hai kisi aur anjuman jaaye
bade dushman bana karte hain jab tum saath hoti ho
gali gar ye tiri ho koii kaise be-shikan jaaye
vo kehta hai mohabbat ne sanwaari zindagi uski
ki sar uska jo foota ho mere dil se jalan jaaye
mohabbat mil bhi jaaye to sabhi kuchh cheen leti hai
hua hai pyaar jisko bhi usi ka baankpan jaaye
main darta hoon mohabbat se mujhe anjaam kii chinta
mohabbat chhod kar radha kii apne ghar kishan jaaye
ये चिंगारी मोहब्बत की सुलग कर आग बन जाए
कि ख़ुद तलवार क्या जाने किसी पर कब वो तन जाए
हुई बातें तसव्वुर में बता दो रात तक मुझको
नहीं तो ये मुसाफ़िर सुब्ह तक अपने वतन जाए
तुम्हारी ज़ुल्फ़ खुलती है मिरा दिल भी बहलता है
अगर ये ज़ुल्फ़ बाँधी है किसी और अंजुमन जाए
बड़े दुश्मन बना करते हैं जब तुम साथ होती हो
गली गर ये तिरी हो कोई कैसे बे-शिकन जाए
वो कहता है मोहब्बत ने सँवारी ज़िन्दगी उसकी
कि सर उसका जो फूटा हो मिरे दिल से जलन जाए
मोहब्बत मिल भी जाए तो सभी कुछ छीन लेती है
हुआ है प्यार जिसको भी उसी का बाँकपन जाए
मैं डरता हूँ मोहब्बत से मुझे अंजाम की चिंता
मोहब्बत छोड़ कर राधा की अपने घर किशन जाए
As you were reading Shayari by arjun chamoli
our suggestion based on arjun chamoli
As you were reading undefined Shayari