ek dooje ko aazmaane ke | एक दूजे को, आज़माने के

  - A R Sahil "Aleeg"

ek dooje ko aazmaane ke
silsile rakhte aane-jaane ke

ik bahaana bhi kya kahein unka
sau bahaane hain ik bahaane ke

ahtiyaatan dikha diye hain tumhein
zakhm hote nahin dikhaane ke

daane daane pe naam likkha hai
khaane waale hain daane daane ke

ishq ke dar p aane waale log
rah na paaye kisi thikaane ke

aapka gham भी,कोई gham hai kya
hamne jhele hain gham zamaane ke

bas yahi ek hai meri hamdard
paas baithi qaza jo shaane ke

unki zid है,तो tod den vo dil
shor ham bhi nahin machaane ke

karle toofaan sau sitam ham pe
ham charaagaan nahin bujhaane ke

ab jo maqtal mein aa gaye hain ham
paanv peeche nahin hataane ke

mat suna hamko faailun faylun
ham bhi hain daag ke gharaane ke

vo hi tode the aap ne saahil
jo the vaade-wafa nibhaane ke

एक दूजे को, आज़माने के
सिलसिले रखते, आने-जाने के

इक बहाना भी, क्या कहें उनका
सौ बहाने हैं, इक बहाने के

अहतियातन, दिखा दिए हैं तुम्हें
ज़ख्म़ होते नहीं, दिखाने के

दाने दाने पे, नाम लिक्खा है
खाने वाले हैं, दाने दाने के

इश्क़ के दर प, आने वाले लोग
रह न पाए, किसी ठिकाने के

आपका ग़म भी,कोई ग़म है क्या?
हमने झेले हैं, ग़म ज़माने के

बस, यही एक है, मेरी हमदर्द
पास बैठी क़ज़ा, जो शाने के

उनकी ज़िद है,तो तोड़ दें वो दिल
शोर हम भी, नहीं मचाने के

करले तूफ़ान, सौ सितम हम पे
हम चराग़ाँ, नहीं बुझाने के

अब जो मक़तल में, आ गए हैं हम
पाँव पीछे, नहीं हटाने के

मत सुना हमको, फ़ाइलुन फ़यलुन
हम भी हैं, दाग़ के घराने के

वो ही तोड़े थे, आप ने 'साहिल'
जो थे, वादे-वफ़ा निभाने के

  - A R Sahil "Aleeg"

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari