faqat is baat se naasaaz hoon main
nazar se hi nazar andaaz hoon main
bahut mushkil hai ab mera sanvarna
kisi ka ishq hoon naasaaz hoon main
rahoge mere bin tum kaise zinda
tumhaari dhadkanoon ka saaz hoon main
vo jisko dushmani hai sakht mujhse
usi zaalim ka hi hamraaz hoon main
muqaddar mein na tha vasl ae samaat
ye maana dil ki ik aawaaz hoon main
kaha hai maut ne ye zindagi se
tu chidiya hai to sun le baaz hoon main
padi hai paanv mein zanjeer lekin
abhi tak maail ae parwaaz hoon main
salaami de raha hai waqt mujhko
naye is daur ka aaghaaz hoon main
samundar mein bana loonga main rasta
asa hoon rab ka vo ejaaz hoon main
फ़क़त, इस बात से, नासाज़ हूँ मैं
नज़र से ही, नज़र अंदाज़ हूँ मैं
बहुत मुश्किल है, अब मेरा संवरना
किसी का इश्क़ हूँ, नासाज़ हूँ मैं
रहोगे, मेरे बिन, तुम कैसे ज़िंदा?
तुम्हारी धड़कनों का, साज़ हूँ मैं
वो, जिसको दुश्मनी है, सख़्त मुझसे
उसी ज़ालिम का ही, हमराज़ हूँ मैं
मुक़द्दर में, न था, वस्ल ए समाअत
ये माना, दिल की इक आवाज़ हूँ मैं
कहा है, मौत ने, ये ज़िन्दगी से
तू चिड़िया है, तो सुन ले, बाज़ हूँ मैं
पड़ी है, पाँव में ज़ंजीर लेकिन
अभी तक, माइल ए परवाज़ हूँ मैं
सलामी, दे रहा है, वक़्त मुझको
नए इस दौर का, आग़ाज़ हूँ मैं
समुंदर में, बना लूंगा मैं रस्ता
असा हूँ रब का, वो एजाज़ हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Qatil Shayari Shayari