labon pe muskaan dil mein vehshat hai aib-khulkat meri ghazaala
khata pe apni nahin kare hai kabhi नदामत,मेरी ghazaala
so jaise chaaha buna hai rab ne badan ka khaakaa ye uski marzi
har ek dhab ke hain apne-apne kasaav-kasrat meri ghazaala
qaraar de-de mujhe tu kaafir na chhoot paayegi ye ibadat
rahegi qadmon mein sirf tere ye meri jannat meri ghazaala
nahin hai mumkin ki kat sake ye khuda ka likkha p sochta hoon
vo mil ke mujhse kabhi to meri badal de qismat meri ghazaala
ana se maangu jahaan se maangu tujhe main kis-kis khuda se maangu
bani hai mere hi jaan-o-jee ki tu sakht aaft meri ghazaala
main chahta hoon bana le saahil mujhe tu apni hi zindagi ka
nahin hai mujhko zamaane bhar se koi bhi haajat meri ghazaala
लबों पे मुस्कान दिल में वहशत है ऐब-ख़ल्क़त, मेरी ग़ज़ाला
ख़ता पे अपनी नहीं करे है कभी नदामत,मेरी ग़ज़ाला
सो जैसे चाहा बुना है रब ने बदन का ख़ाका, ये उसकी मर्ज़ी
हर एक ढब के हैं अपने-अपने कसाव-कसरत, मेरी ग़ज़ाला
क़रार दे-दे मुझे तू काफ़िर, न छूट पाएगी ये इबादत
रहेगी क़दमों में सिर्फ़ तेरे ये मेरी जन्नत, मेरी ग़ज़ाला
नहीं है मुमकिन कि कट सके ये ख़ुदा का लिक्खा प सोचता हूँ
वो मिल के मुझसे कभी तो मेरी बदल दे क़िस्मत, मेरी ग़ज़ाला
अना से माँगू, जहाँ से माँगू, तुझे मैं किस-किस ख़ुदा से माँगू
बनी है मेरे ही जान-ओ-जी की तू सख़्त आफ़त, मेरी ग़ज़ाला
मैं चाहता हूँ बना ले साहिल मुझे तू अपनी ही ज़िंदगी का
नहीं है मुझको ज़माने भर से कोई भी हाजत, मेरी ग़ज़ाला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari