zara si baat pe aansu bahaaye jaate hain | ज़रा सी बात पे आँसू बहाए जाते हैं - A R Sahil "Alig"

zara si baat pe aansu bahaaye jaate hain
huzoor fitna-e-mahshar uthaaye jaate hain

hawa ki ot mein hum thartharaaye jaate hain
kuch is tarah vo nigaahon mein aaye jaate hain

haya ka peer samjhte hain log to unko
humein khabar hai vo kya gul khilaaye jaate hain

dilon mein aag lagi hai jo vo nahin bujhti
badan se sirf havas hi bujaaye jaate hain

siyaah raat ke daaman mein roshni ke liye
charaagh hum bhi lahu se jalaae jaate hain

mujhe ye dar hai koi ungaliyaan na kar de qalam
vo haath sabse musalsal milaaye jaate hain

kahi kahi to khushamad p bhi nahin jaate
kahi kahi to miyaan bin bulaaye jaate hain

khuda kare ki salaamat rahein mere dushman
jo meri raah mein kaante bichhaaye jaate hain

vo maikdaa ho haram ya sanam ka darwaaza
jidhar bhi jaaye kadam dagmagaaye jaate hain

talash aur karein teen kaandhe ae saahil
wafa ki laash jo tanhaa uthaaye jaate hain

ज़रा सी बात पे आँसू बहाए जाते हैं
हुज़ूर फ़ित्ना-ए-महशर उठाए जाते हैं

हवा की ओट में हम थरथराए जाते हैं
कुछ इस तरह वो निगाहों में आए जाते हैं

हया का पीर समझते हैं लोग तो उनको,
हमें ख़बर है वो क्या गुल खिलाए जाते हैं

दिलों में आग लगी है जो वो नहीं बुझती
बदन से सिर्फ़ हवस ही बुझाए जाते हैं

सियाह रात के दामन में रोशनी के लिए
चराग़ हम भी लहू से जलाए जाते हैं

मुझे ये डर है कोई उँगलियाँ न कर दे क़लम
वो हाथ सबसे मुसलसल मिलाए जाते हैं

कहीं कहीं तो खुशामद प भी नहीं जाते
कहीं कहीं तो मियाँ बिन बुलाए जाते हैं

ख़ुदा करे कि सलामत रहें मिरे दुश्मन
जो मेरी राह में कांटे बिछाए जाते हैं

वो मयक़दा हो हरम या सनम का दरवाज़ा
जिधर भी जाए कदम डगमगाए जाते हैं

तलाश और करें तीन कांधे ए साहिल
वफ़ा की लाश जो तन्हा उठाए जाते हैं

- A R Sahil "Alig"
1 Like

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by A R Sahil "Alig"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Alig"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Alig"

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari