na gauhar na moti na zar dekhte hain
jo tere karam kii nazar dekhte hain
bala ka haseen hain so usko hasad se
ye jalbhun ke shams-o-qamar dekhte hain
zameen ho ki ambar kahaan tu nahin hai
udhar tu hi tu hai jidhar dekhte hain
hon bedaar ya aalam-e-khwaab kuchh bhi
dar ae paak khair-ul-bashar dekhte hain
vo minaar-o-gumbad vo shahr-e-madina
nabi hain jahaan zilva-gar dekhte hain
badhengi khataayein girega zameen par
jise aaj sab arsh par dekhte hain
zameen par payambar kise vo banaaye
vo bakshe kise ye hunar dekhte hain
khuda ke mukhalif khade hone waale
zameen doz hote bashar dekhte hain
hui shaam chhodo ye aawaargi ab
kaza kabul aqaa ka ghar dekhte hai
munaafiq ko saahil nahin kaam koii
nabi ke vo aib-o-hunar dekhte hai
न गौहर न मोती न ज़र देखते हैं
जो तेरे करम की नज़र देखते हैं
बला का हसीं हैं सो उसको हसद से
ये जलभुन के शम्स-ओ-क़मर देखते हैं
ज़मीं हो कि अम्बर कहाँ तू नहीं है
उधर तू ही तू है जिधर देखते हैं
हों बेदार या आलम-ए-ख़्वाब कुछ भी
दर ए पाक ख़ैर-उल-बशर देखते हैं
वो मीनार-ओ-गुम्बद वो शहर-ए-मदीना
नबी हैं जहाँ ज़लवा-ग़र देखते हैं
बढ़ेंगी ख़ताएँ गिरेगा ज़मीं पर
जिसे आज सब अर्श पर देखते हैं
ज़मीं पर पयम्बर किसे वो बनाए
वो बख़्शे किसे ये हुनर देखते हैं
ख़ुदा के मुख़ालिफ़ खड़े होने वाले
ज़मीं दोज़ होते बशर देखते हैं
हुई शाम छोड़ो ये आवारगी अब
कज़ा कब्ल आक़ा का घर देखते है
मुनाफ़िक़ को साहिल नहीं काम कोई
नबी के वो ऐब-ओ-हुनर देखते है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Ghar Shayari Shayari