aane mein jhijhak milne mein haya tum aur kahi ham aur kahi | आने में झिझक मिलने में हया तुम और कहीं हम और कहीं

  - Arzoo Lakhnavi

aane mein jhijhak milne mein haya tum aur kahi ham aur kahi
ab ahad-e-wafaa toota ki raha tum aur kahi ham aur kahi

be-aap khushi se ek idhar kuchh khoya hua sa ek udhar
zaahir mein bahm baatin mein juda tum aur kahi ham aur kahi

aaye to khushamad se aaye baithe to muravvat se baithe
milna hi ye kya jab dil na mila tum aur kahi ham aur kahi

wa'ada bhi kiya to ki na wafa aata hai tumhein charkon mein maza
chhodo bhi ye zid lutf is mein hai kya tum aur kahi ham aur kahi

bargashta-naseeb ka yun hona sona bhi to ik karvat sona
kab tak ye judaai ka rona tum aur kahi ham aur kahi

dil milne pe bhi pahluu na mila dushman to baghal hi mein hai chhupa
qaateel hai mohabbat ki ye haya tum aur kahi ham aur kahi

yaksooi-e-dil marghoob hamein barbaadi-e-dil matlab tumhein
is zid ka hai aur anjaam hi kya tum aur kahi ham aur kahi

dil se hai agar qaaim rishta to door-o-qareeb ki bahs hi kya
hai ye bhi nigaahon ka dhoka tum aur kahi ham aur kahi

sun rakho qabl-e-ahd-e-wafa qaul aarzoo-e-shaidai ka
jannat bhi hai dozakh gar ye hua tum aur kahi ham aur kahi

आने में झिझक मिलने में हया तुम और कहीं हम और कहीं
अब अहद-ए-वफ़ा टूटा कि रहा तुम और कहीं हम और कहीं

बे-आप ख़ुशी से एक इधर कुछ खोया हुआ सा एक उधर
ज़ाहिर में बहम बातिन में जुदा तुम और कहीं हम और कहीं

आए तो ख़ुशामद से आए बैठे तो मुरव्वत से बैठे
मिलना ही ये क्या जब दिल न मिला तुम और कहीं हम और कहीं

वअदा भी किया तो की न वफ़ा आता है तुम्हें चर्कों में मज़ा
छोड़ो भी ये ज़िद लुत्फ़ इस में है क्या तुम और कहीं हम और कहीं

बरगश्ता-नसीब का यूँ होना सोना भी तो इक करवट सोना
कब तक ये जुदाई का रोना तुम और कहीं हम और कहीं

दिल मिलने पे भी पहलू न मिला दुश्मन तो बग़ल ही में है छुपा
क़ातिल है मोहब्बत की ये हया तुम और कहीं हम और कहीं

यकसूई-ए-दिल मर्ग़ूब हमें बर्बादी-ए-दिल मतलूब तुम्हें
इस ज़िद का है और अंजाम ही क्या तुम और कहीं हम और कहीं

दिल से है अगर क़ाएम रिश्ता तो दूर-ओ-क़रीब की बहस ही क्या
है ये भी निगाहों का धोका तुम और कहीं हम और कहीं

सुन रक्खो क़ब्ल-ए-अहद-ए-वफ़ा क़ौल आरज़ू-ए-शैदाई का
जन्नत भी है दोज़ख़ गर ये हुआ तुम और कहीं हम और कहीं

  - Arzoo Lakhnavi

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arzoo Lakhnavi

As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Arzoo Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari