aaj be-aap ho gaye ham bhi
aap ko pa ke kho gaye ham bhi
daane kam the dukhon ki simran mein
thode moti piro gaye ham bhi
der se the vo jis ke ghere mein
usi jhurmut mein kho gaye ham bhi
ja kai dhoonda kahaan kahaan na tumhein
jab na paaya to kho gaye ham bhi
naam jeene ka jaagna rakh kar
aaj be neend so gaye ham bhi
roenge gar to jag-hansaai ho
karte kya chup se ho gaye ham bhi
haaye re aarzoo ki be-aasi
aap be-bas the ro gaye ham bhi
आज बे-आप हो गए हम भी
आप को पा के खो गए हम भी
दाने कम थे दुखों की सिमरन में
थोड़े मोती पिरो गए हम भी
देर से थे वो जिस के घेरे में
उसी झुरमुट में खो गए हम भी
जा कै ढूँडा कहाँ कहाँ न तुम्हें
जब न पाया तो खो गए हम भी
नाम जीने का जागना रख कर
आज बे नींद सो गए हम भी
रोएँगे गर तो जग-हँसाई हो
करते क्या चुप से हो गए हम भी
हाए रे 'आरज़ू' की बे-आसी
आप बे-बस थे रो गए हम भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi
our suggestion based on Arzoo Lakhnavi
As you were reading Hasrat Shayari Shayari