gore gore chaand se munh par kaali kaali aankhen hain
dekh ke jin ko neend aa jaaye vo matwaali aankhen hain
munh se palla kya sarkaana is baadal mein bijli hai
soojhti hai aisi hi nahin jo footne waali aankhen hain
chaah ne andha kar rakha hai aur nahin to dekhne mein
aankhen aankhen sab hain barabar kaun niraali aankhen hain
be jis ke andher hai sab kuchh aisi baat hai us mein kya
jee ka hai ye bawala-pan ya bholi-bhaali aankhen hain
aarzoo ab bhi khote khare ko kar ke alag hi rakh denge
un ki parakh ka kya kehna hai jo teksaali aankhen hain
गोरे गोरे चाँद से मुँह पर काली काली आँखें हैं
देख के जिन को नींद आ जाए वो मतवाली आँखें हैं
मुँह से पल्ला क्या सरकाना इस बादल में बिजली है
सूझती है ऐसी ही नहीं जो फूटने वाली आँखें हैं
चाह ने अंधा कर रक्खा है और नहीं तो देखने में
आँखें आँखें सब हैं बराबर कौन निराली आँखें हैं
बे जिस के अंधेर है सब कुछ ऐसी बात है उस में क्या
जी का है ये बावला-पन या भोली-भाली आँखें हैं
'आरज़ू' अब भी खोटे खरे को कर के अलग ही रख देंगी
उन की परख का क्या कहना है जो टेकसाली आँखें हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi
our suggestion based on Arzoo Lakhnavi
As you were reading Baaten Shayari Shayari