vo sar-e-baam kab nahin aata | वो सर-ए-बाम कब नहीं आता

  - Arzoo Lakhnavi

vo sar-e-baam kab nahin aata
jab main hota hoon tab nahin aata

bahr-e-taskin vo kab nahin aata
etibaar aah ab nahin aata

chup hai shikvon ki ek band kitaab
us se kehne ka dhab nahin aata

un ke aage bhi dil ko chain nahin
be-adab ko adab nahin aata

zakham se kam nahin hai us ki hasi
jis ko rona bhi ab nahin aata

munh ko aa jaata hai jigar gham se
aur gila ta-b-lab nahin aata

bholi baaton pe teri dil ko yaqeen
pehle aata tha ab nahin aata

dukh vo deta hai us pe hai ye haal
lene jaata hoon jab nahin aata

aarzoo be-asar mohabbat chhod
kyun kare kaam jab nahin aata

वो सर-ए-बाम कब नहीं आता
जब मैं होता हूँ तब नहीं आता

बहर-ए-तस्कीं वो कब नहीं आता
एतिबार आह अब नहीं आता

चुप है शिकवों की एक बंद किताब
उस से कहने का ढब नहीं आता

उन के आगे भी दिल को चैन नहीं
बे-अदब को अदब नहीं आता

ज़ख़्म से कम नहीं है उस की हँसी
जिस को रोना भी अब नहीं आता

मुँह को आ जाता है जिगर ग़म से
और गिला ता-ब-लब नहीं आता

भोली बातों पे तेरी दिल को यक़ीं
पहले आता था अब नहीं आता

दुख वो देता है उस पे है ये हाल
लेने जाता हूँ जब नहीं आता

'आरज़ू' बे-असर मोहब्बत छोड़
क्यूँ करे काम जब नहीं आता

  - Arzoo Lakhnavi

Eitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arzoo Lakhnavi

As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Arzoo Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Eitbaar Shayari Shayari