raahbar raah-numa koi nahin hota hai
raah-e-ulfat mein sagā koi nahin hota hai
mujh ko khilwat mein bhi tum yaad nahin aate ho
khud pasandi se bura koi nahin hota hai
dukh ke mausam mein dilaase ke liye mere saath
ya to main hota hoon ya koi nahin hota hai
ham yatiimon ko dua raas nahin aati hain
ham yatiimon ka khuda koi nahin hota hai
koi saaya na koi phool na panchi koi
sookhte ped ka kya koi nahin hota hai
us se bichhda to mujhe bhool gai khalk-e-khuda
ghar se niklon ka pata koi nahin hota hai
राहबर राह-नुमा कोई नहीं होता है
राह-ए-उल्फ़त में सगा कोई नहीं होता है
मुझ को ख़ल्वत में भी तुम याद नहीं आते हो
ख़ुद पसंदी से बुरा कोई नहीं होता है
दुख के मौसम में दिलासे के लिए मेरे साथ
या तो मैं होता हूँ या कोई नहीं होता है
हम यतीमों को दुआ रास नहीं आती हैं
हम यतीमों का ख़ुदा कोई नहीं होता है
कोई साया न कोई फूल न पंछी कोई
सूखते पेड़ का क्या कोई नहीं होता है
उस से बिछड़ा तो मुझे भूल गई ख़ल्क़-ए-ख़ुदा
घर से निकलों का पता कोई नहीं होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari