lutf badhta hai safar ka dost kam raftaar se | लुत्फ़ बढ़ता है सफ़र का दोस्त कम रफ़्तार से - Ashu Mishra

lutf badhta hai safar ka dost kam raftaar se
main bhi khush hota hoon tere aarzi inkaar se

aankh lagne ki zara si der thi bas aur phir
kat gaya dariya-e-shab bhi khwaab ke patwaar se

meri qurbat mein mera ghar bhi fasurda ho gaya
ashk girne lag gaye hain deeda-e-deewaar se

ek message nafratoin par baar guzra hai meri
phool bheja hai kisi ladki ne sarhad paar se

us ki aankhen aap ki aankhon se achhi theen zara
baaki saare aap behtar ho purane yaar se

लुत्फ़ बढ़ता है सफ़र का दोस्त कम रफ़्तार से
मैं भी ख़ुश होता हूँ तेरे आरज़ी इनकार से

आँख लगने की ज़रा सी देर थी बस और फिर
कट गया दरिया-ए-शब भी ख़्वाब के पतवार से

मेरी क़ुर्बत में मिरा घर भी फ़सुर्दा हो गया
अश्क गिरने लग गए हैं दीदा-ए-दीवार से

एक मैसेज नफ़रतों पर बार गुज़रा है मिरी
फूल भेजा है किसी लड़की ने सरहद पार से

उस की आँखें आप की आँखों से अच्छी थीं ज़रा
बाक़ी सारे आप बेहतर हो पुराने यार से

- Ashu Mishra
0 Likes

Sarhad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ashu Mishra

As you were reading Shayari by Ashu Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ashu Mishra

Similar Moods

As you were reading Sarhad Shayari Shayari