tamaam muddat mera ye shikwa raha kiran se
ki us ne mujh par nazar na daali kabhi gagan se
main zindagi ka diya jala kar ke jiun hi palta
tabhi achaanak hawaaein chal deen qaza ke ban se
puraani chaahat ke zakham ab tak bhare nahin hain
aur ek ladki padi hai peeche bade jatan se
vo maah-paara milan se pehle bahut khafa thi
ab us ke bose chhuta raha hoon main is badan se
mujhe aseeri mein lutf aane laga tha yaaro
main dhun banata tha bediyo ki khanan khanan se
तमाम मुद्दत मिरा ये शिकवा रहा किरन से
कि उस ने मुझ पर नज़र न डाली कभी गगन से
मैं ज़िंदगी का दिया जला कर के जिऊँ ही पल्टा
तभी अचानक हवाएँ चल दीं क़ज़ा के बन से
पुरानी चाहत के ज़ख़्म अब तक भरे नहीं हैं
और एक लड़की पड़ी है पीछे बड़े जतन से
वो माह-पारा मिलन से पहले बहुत ख़फ़ा थी
अब उस के बोसे छुटा रहा हूँ मैं इस बदन से
मुझे असीरी में लुत्फ़ आने लगा था यारो
मैं धुन बनाता था बेड़ियों की खनन खनन से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Shama Shayari Shayari