us ki qurbat mein hua hai ye khasaara mera
aap padh leejie har aankh mein qissa mera
har nayi saans pe banta hoon bigad jaata hoon
ye hawa khatm hi kar de na tamasha mera
ab to honton pe kabhi phool bhi khil jaate hain
aap ne in dinon dekha nahin chehra mera
main ne ro ro ke use gair ka hone na diya
us bala-khez ko zanjeer tha giryaa mera
ab naye dasht mujhe dekh ke dar jaate hain
meri vehshat ne badha rakha hai rutba mera
उस की क़ुर्बत में हुआ है ये ख़सारा मेरा
आप पढ़ लीजिए हर आँख में क़िस्सा मेरा
हर नई साँस पे बनता हूँ बिगड़ जाता हूँ
ये हवा ख़त्म ही कर दे न तमाशा मेरा
अब तो होंटों पे कभी फूल भी खिल जाते हैं
आप ने इन दिनों देखा नहीं चेहरा मेरा
मैं ने रो रो के उसे ग़ैर का होने न दिया
उस बला-ख़ेज़ को ज़ंजीर था गिर्या मेरा
अब नए दश्त मुझे देख के डर जाते हैं
मेरी वहशत ने बढ़ा रक्खा है रुत्बा मेरा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Khushboo Shayari Shayari