jahaan se aa gaye hain us jahaan ki yaad aati hai
ki ham uryaan-saron ko saaebaan ki yaad aati hai
jahaan-e-mahfil-e-shab mein sabhi aankhen bhigoten hain
sabhi ko apne apne raftagaan ki yaad aati hai
wahan jab tak rahe tab tak yahan ki fikr rahti thi
yahan jab aa gaye hain to wahan ki yaad aati hai
ye sheher-e-ajnabi mein ab kise ja kar bataayein ham
kahaan ke rahne waale hain kahaan ki yaad aati hai
जहाँ से आ गए हैं उस जहाँ की याद आती है
कि हम उर्यां-सरों को साएबाँ की याद आती है
जहान-ए-महफ़िल-ए-शब में सभी आँखें भिगोतें हैं
सभी को अपने अपने रफ़्तगाँ की याद आती है
वहाँ जब तक रहे तब तक यहाँ की फ़िक्र रहती थी
यहाँ जब आ गए हैं तो वहाँ की याद आती है
ये शहर-ए-अजनबी में अब किसे जा कर बताएँ हम
कहाँ के रहने वाले हैं कहाँ की याद आती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Duniya Shayari Shayari