qadmon ka rah-e-dil pe nishaan koi nahin tha | क़दमों का रह-ए-दिल पे निशाँ कोई नहीं था

  - Ashu Mishra

qadmon ka rah-e-dil pe nishaan koi nahin tha
muddat se yahan gasht-kunaan koi nahin tha

tujh ko to mere dost hai tanhaai mayassar
main ne wahan kaatee hai jahaan koi nahin tha

vaise to bahut bheed thi is khaana-e-dil mein
lekin mere matlab ka yahan koi nahin tha

koi bhi nahin tha jise ham dil ki sunaate
koi bhi nahin tha meri jaan koi nahin tha

tu chhod gaya tab bhi ziyaan koi nahin hai
tu saath bhi hota to ziyaan koi nahin tha

tu vaham tha mera ki koi doob raha hai
tu sach mein sar-e-aab-e-ravaan koi nahin tha

क़दमों का रह-ए-दिल पे निशाँ कोई नहीं था
मुद्दत से यहाँ गश्त-कुनाँ कोई नहीं था

तुझ को तो मिरे दोस्त है तन्हाई मयस्सर
मैं ने वहाँ काटी है जहाँ कोई नहीं था

वैसे तो बहुत भीड़ थी इस ख़ाना-ए-दिल में
लेकिन मिरे मतलब का यहाँ कोई नहीं था

कोई भी नहीं था जिसे हम दिल की सुनाते
कोई भी नहीं था मिरी जाँ कोई नहीं था

तू छोड़ गया तब भी ज़ियाँ कोई नहीं है
तू साथ भी होता तो ज़ियाँ कोई नहीं था

तू वहम था मेरा कि कोई डूब रहा है
तू सच में सर-ए-आब-ए-रवाँ कोई नहीं था

  - Ashu Mishra

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ashu Mishra

As you were reading Shayari by Ashu Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ashu Mishra

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari