tumhaare saath ye qissa kabhi khabaar ka hai
magar ye hijr mere saath baar-baar ka hai
hamaare darmiyaan ik shak ki film hai jis mein
kahi kahi pe koi seen e'tibaar ka hai
ye teri ham pe inaayat hai ya chaman mein kisi
khizaan-naseeb ke hisse mein sukh bahaar ka hai
agar tu khud ko khula chhodta hai jaan-e-bahaar
to tujh pe haq tire pehle umeed-waar ka hai
ye tera jism hai ya rahguzar-e-gul hai koi
qaba ka band hai ya ped regzaar ka hai
main dil ke baare mein itna hi jaan paaya hoon
kabhi ye ek ka hota tha ab hazaar ka hai
तुम्हारे साथ ये क़िस्सा कभी कभार का है
मगर ये हिज्र मिरे साथ बार-बार का है
हमारे दरमियाँ इक शक की फ़िल्म है जिस में
कहीं कहीं पे कोई सीन ए'तिबार का है
ये तेरी हम पे इनायत है या चमन में किसी
ख़िज़ाँ-नसीब के हिस्से में सुख बहार का है
अगर तू ख़ुद को खुला छोड़ता है जान-ए-बहार
तो तुझ पे हक़ तिरे पहले उमीद-वार का है
ये तेरा जिस्म है या रहगुज़ार-ए-गुल है कोई
क़बा का बंद है या पेड़ रेगज़ार का है
मैं दिल के बारे में इतना ही जान पाया हूँ
कभी ये एक का होता था अब हज़ार का है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Freedom Shayari Shayari