shehar-e-taareek ke jalte hue manzar dekho
qahqahe maar ke hansta hai sitamgar dekho
sukhe patton ko zara aag dikha do badh kar
aur phir aag ko ummeed se badh kar dekho
pehle dekho ki ye sheeshe ka nagar bach jaaye
waqt mil jaaye to fenke gaye patthar dekho
haq ki baatein mere haakim ko buri lagti hain
phir bhi kehta hoon ki awaaz utha kar dekho
chashm-e-namnaak meri khushk hua chahti hain
ma'zarat dost koi aur samundar dekho
शहर-ए-तारीक के जलते हुए मंज़र देखो
क़हक़हे मार के हँसता है सितमगर देखो
सूखे पत्तों को ज़रा आग दिखा दो बढ़ कर
और फिर आग को उम्मीद से बढ़ कर देखो
पहले देखो कि ये शीशे का नगर बच जाए
वक़्त मिल जाए तो फेंके गए पत्थर देखो
हक़ की बातें मिरे हाकिम को बुरी लगती हैं
फिर भी कहता हूँ कि आवाज़ उठा कर देखो
चश्म-ए-नमनाक मिरी ख़ुश्क हुआ चाहती हैं
मा'ज़रत दोस्त कोई और समुंदर देखो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Freedom Shayari Shayari