ek patthar rakh liya hai seena-e-sad-chaak par | एक पत्थर रख लिया है सीना-ए-सद-चाक पर

  - Ashu Mishra

ek patthar rakh liya hai seena-e-sad-chaak par
zabt ka pahra lagaaya deeda-e-namunaak par

chaar din mein hi haqeeqat ki zameen par aa gira
chaar din mein bhi uda tha ishq ke aflaak par

kaun hai jis par nahin khulta mera dast-e-hunar
kis ki mitti ek muddat se rakhi hai chaak par

ye khizaan pedon se patte dil se khushiyaan le gai
zor kuchh bhi chal na paaya mausam-e-saffaak par

saanehe padte rahenge sach ke raaste mein hazaar
ungaliyaan uthati raheingi lehja-e-bebaak par

jo bhi aaya vo tiri aankhon ka ho ke rah gaya
ye bhanwar ab tak na khul paaye kisi tairaak par

एक पत्थर रख लिया है सीना-ए-सद-चाक पर
ज़ब्त का पहरा लगाया दीदा-ए-नमनाक पर

चार दिन में ही हक़ीक़त की ज़मीं पर आ गिरा
चार दिन में भी उड़ा था इश्क़ के अफ़्लाक पर

कौन है जिस पर नहीं खुलता मिरा दस्त-ए-हुनर
किस की मिट्टी एक मुद्दत से रखी है चाक पर

ये ख़िज़ाँ पेड़ों से पत्ते दिल से ख़ुशियाँ ले गई
ज़ोर कुछ भी चल न पाया मौसम-ए-सफ़्फ़ाक पर

सानेहे पड़ते रहेंगे सच के रस्ते में हज़ार
उँगलियाँ उठती रहेंगी लहजा-ए-बेबाक पर

जो भी आया वो तिरी आँखों का हो के रह गया
ये भँवर अब तक न खुल पाए किसी तैराक पर

  - Ashu Mishra

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ashu Mishra

As you were reading Shayari by Ashu Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ashu Mishra

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari