khuda gar mere haathon mein dilaase ki chilam bharta
main ahl-e-hijr ke thande pade seenon mein dam bharta
agar mujh ko kisi ke husn ka mausam na raas aata
main dil ke saare khaanon mein tiri furqat ke gham bharta
musavvir main haseen lagta tire sab shaahkaaron se
tu mujh mein rang to bharta bhale auron se kam bharta
bahut thak kar sawaal-e-wasl us se kar diya main ne
main kab tak dekha-dekhi se mohabbat ka shikam bharta
ख़ुदा गर मेरे हाथों में दिलासे की चिलम भरता
मैं अहल-ए-हिज्र के ठंडे पड़े सीनों में दम भरता
अगर मुझ को किसी के हुस्न का मौसम न रास आता
मैं दिल के सारे ख़ानों में तिरी फ़ुर्क़त के ग़म भरता
मुसव्विर मैं हसीं लगता तिरे सब शाहकारों से
तू मुझ में रंग तो भरता भले औरों से कम भरता
बहुत थक कर सवाल-ए-वस्ल उस से कर दिया मैं ने
मैं कब तक देखा-देखी से मोहब्बत का शिकम भरता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Dil Shayari Shayari