sitam mein taab kam ho to pashemaani mein rahti hain | सितम में ताब कम हो तो पशेमानी में रहती हैं - Ashu Mishra

sitam mein taab kam ho to pashemaani mein rahti hain
mere gham se meri khushiyaan pareshaani mein rahti hain

jo dard-e-zakhm badhta hai to lutf-andoz hota hoon
meri sab raahatein us ki namak-daani mein rahti hain

tumhaari shakl in aankhon mein aa jaati hai din dhalti
ye dono seepiyaan phir raat bhar paani mein rahti hain

mere andar ke gham baahar bhi zaahir hote rahte hain
ye dil ki silvatein hain jo ki peshaani mein rahti hain

azal se hai hamaari aankhon mein paivast aaina
so in mein jhaankne waali bhi hairaani mein rahti hain

tumhein main choom luun choo luun zara ik sharm hai warna
ye saari justujuen hadd-e-imkaani mein rahti hain

सितम में ताब कम हो तो पशेमानी में रहती हैं
मिरे ग़म से मिरी ख़ुशियाँ परेशानी में रहती हैं

जो दर्द-ए-ज़ख़्म बढ़ता है तो लुत्फ़-अंदोज़ होता हूँ
मिरी सब राहतें उस की नमक-दानी में रहती हैं

तुम्हारी शक्ल इन आँखों में आ जाती है दिन ढलते
ये दोनों सीपियाँ फिर रात भर पानी में रहती हैं

मिरे अंदर के ग़म बाहर भी ज़ाहिर होते रहते हैं
ये दिल की सिलवटें हैं जो कि पेशानी में रहती हैं

अज़ल से है हमारी आँखों में पैवस्त आईना
सो इन में झाँकने वाली भी हैरानी में रहती हैं

तुम्हें मैं चूम लूँ छू लूँ ज़रा इक शर्म है वर्ना
ये सारी जुस्तुजुएँ हद्द-ए-इम्कानी में रहती हैं

- Ashu Mishra
0 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ashu Mishra

As you were reading Shayari by Ashu Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ashu Mishra

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari