zulm ke dasht mein barsaat ke aasaar hain ham | ज़ुल्म के दश्त में बरसात के आसार हैं हम

  - Abdulla Asif

zulm ke dasht mein barsaat ke aasaar hain ham
fauj-e-kufa kii ravish ko rah-e-pur-khaar hain ham

tum zabaan kaato hamaari ya sar-e-daar karo
zikr-e-haidar ke liye aqib-e-tammar hain ham

haq-bayani se ye sooli hamein kya rokegi
kahin eesa to kahin meesam-e-tammaar hain ham

ya ali khuld nahin maangte zaari ke ivaz
qabr mein aapke bas taalib-e-deedaar hain ham

khaliq-e-kul tere moosa se taqallum kii qasam
shaah-e-firdous ke hi ghar ke wafadar hain ham

masnad-e-adl pe baitha hua hai shaah-e-shaam
aur khuda ishq-e-husaaini mein giraftaar hain ham

dhoondhiye aap rivaayat mein yazido ke vaqaar
aur kahiye ki faqat saahib-e-kirdaar hain ham

jang karne hai to le aao tum apna lashkar
baat karne hai to aao sar-e-darbaar hain ham

ज़ुल्म के दश्त में बरसात के आसार हैं हम
फ़ौज-ए-कूफ़ा की रविश को रह-ए-पुर-ख़ार हैं हम

तुम ज़बाँ काटो हमारी या सर-ए-दार करो
ज़िक्र-ए-हैदर के लिए आक़िब-ए-तम्मार हैं हम

हक़-बयानी से ये सूली हमें क्या रोकेगी
कहीं ईसा तो कहीं मीसम-ए-तम्मार हैं हम

या अली ख़ुल्द नहीं माँगते ज़ारी के इवज़
क़ब्र में आपके बस तालिब-ए-दीदार हैं हम

ख़ालिक-ए-कुल तेरे मूसा से तक़ल्लुम की क़सम
शाह-ए-फ़िरदौस के ही घर के वफ़ादार हैं हम

मसनद-ए-अद्ल पे बैठा हुआ है शाह-ए-शाम
और ख़ुदा इश्क़-ए-हुसैनी में गिरफ़्तार हैं हम

ढूँढिए आप रिवायत में यज़ीदों के वक़ार
और कहिए कि फ़क़त साहिब-ए-किरदार हैं हम

जंग करनी है तो ले आओ तुम अपना लशकर
बात करनी है तो आओ सर-ए-दरबार हैं हम

  - Abdulla Asif

More by Abdulla Asif

As you were reading Shayari by Abdulla Asif

Similar Writers

our suggestion based on Abdulla Asif

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari