raasta sunsaan tha to mud ke dekha kyun nahin
mujh ko tanhaa dekh kar us ne pukaara kyun nahin
dhoop ki aaghosh mein leta raha main umr bhar
meherbaan tha vo to misl-e-abr aaya kyun nahin
ek panchi der tak saahil pe mandalaata raha
muztarib tha pyaas se lekin vo utara kyun nahin
qurb ki qaus-e-quzah kamre mein bikhri thi magar
raat bhar rang-e-tamanna phir bhi nikhra kyun nahin
mujh ko patthar mein badalte chahe khud ban jaate vo mom
khwaahish-e-tifl-e-tamanna ko jagaaya kyun nahin
us ko tanhaa pa ke aslam raat apne room mein
qatra-e-khoon-e-hawas aankhon mein aaya kyun nahin
रास्ता सुनसान था तो मुड़ के देखा क्यूँ नहीं
मुझ को तन्हा देख कर उस ने पुकारा क्यूँ नहीं
धूप की आग़ोश में लेटा रहा मैं उम्र भर
मेहरबाँ था वो तो मिस्ल-ए-अब्र आया क्यूँ नहीं
एक पंछी देर तक साहिल पे मंडलाता रहा
मुज़्तरिब था प्यास से लेकिन वो उतरा क्यूँ नहीं
क़ुर्ब की क़ौस-ए-क़ुज़ह कमरे में बिखरी थी मगर
रात भर रंग-ए-तमन्ना फिर भी निखरा क्यूँ नहीं
मुझ को पत्थर में बदलते चाहे ख़ुद बन जाते वो मोम
ख़्वाहिश-ए-तिफ़्ल-ए-तमन्ना को जगाया क्यूँ नहीं
उस को तन्हा पा के 'असलम' रात अपने रूम में
क़तरा-ए-ख़ून-ए-हवस आँखों में आया क्यूँ नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aslam Aazad
our suggestion based on Aslam Aazad
As you were reading Garmi Shayari Shayari