tum saath raqeebon ke jee haan khush to rahoge | तुम साथ रक़ीबों के जी हाँ ख़ुश तो रहोगे

  - Aves Sayyad

tum saath raqeebon ke jee haan khush to rahoge
ye baat alag hai ke mujhe yaad karoge

pehle tere khaatir vo deewana ho chalega
phir us ke bhi lab se mere hi sher sunoge

yaadein teri bhulaane laga door main rah kar
tum lo bula mujh ko nahin to haath maloge

bacche bhi tere kheench ke laayege yahan jab
mehfil se meri tab bhala phir kaise uthoge

kamre mein rakhoge mera hi chaand saja kar
tohfa vo tumhein doonga ke tum yaad rakhoge

mujh ko kahi dekho to nazar fer hi lena
tum khaamkhaa kismat pe bhi phir rone lagoge

sayyad ko nawaajega vo jab dekhna us din
tum dekh mujhe jaan hasad se hi maroge

तुम साथ रक़ीबों के जी हाँ ख़ुश तो रहोगे
ये बात अलग है के मुझे याद करोगे

पहले तेरे ख़ातिर वो दिवाना हो चलेगा
फिर उस के भी लब से मेरे ही शेर सुनोगे

यादें तेरी भूलाने लगा दूर मैं रह कर
तुम लो बुला मुझ को नहीं तो हाथ मलोगे

बच्चे भी तेरे खींच के लायेगे यहाँ जब
महफ़िल से मेरी तब भला फिर कैसे उठोगे

कमरे में रखोगे मेरा ही चाँद सजा कर
तोहफ़ा वो तुम्हें दूँगा के तुम याद रखोगे

मुझ को कहीं देखो तो नज़र फेर ही लेना
तुम ख़ामख़ा किस्मत पे भी फिर रोने लगोगे

सय्यद को नवाजेगा वो जब देखना उस दिन
तुम देख मुझे जान हसद से ही मरोगे

  - Aves Sayyad

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari