haan wahi sab kuch puraana chal raha tha | हाँ वही सब कुछ पुराना चल रहा था - Aves Sayyad

haan wahi sab kuch puraana chal raha tha
baithe the sunna sunaana chal raha tha

chal rahi thi apni bazm-e-shaayari bhi
saath mein cigarette jalana chal raha tha

gar main saaki behka hoon naaraz kyun hai
apna to peena pilaana chal raha tha

yaar itne to deewane hum nahin the
jo hamaara dil dukhaana chal raha tha

dard lekar baithe the mehfil mein hum sab
aur gham ka kaarkhaana chal raha tha

kuch nahin badla tha duniya mein kabhi bas
aadmi ka aana jaana chal raha tha

kar raha tha main ghadi tarteeb mein tab
waqt ka bhi apna gaana chal raha tha

jaam uske tarz par hi tha banaya
dekho phir bhi uska na na chal raha tha

koi meri aankh ki putli se pooche
khwaab mein kaisa zamaana chal raha tha

laut aaye sab use bas dekh kar ke
aag par jo ik deewana chal raha tha

log paani jab bahaane mein lage the
mera saahil ko milaana chal raha tha

main tha tum the waqt raatein chaandni thi
ishq bhi kitna suhaana chal raha tha

gum the apne dardo-gham mein isliye sab
kyonki sayyad ka fasana chal raha tha

हाँ वही सब कुछ पुराना चल रहा था
बैठे थे सुनना सुनाना चल रहा था

चल रही थी अपनी बज़्म-ए-शायरी भी
साथ में सिगरट जलाना चल रहा था

गर मैं साकी बहका हूँ, नाराज़ क्यों है
अपना तो पीना पिलाना चल रहा था

यार इतने तो दिवाने हम नहीं थे
जो हमारा दिल दुखाना चल रहा था

दर्द लेकर बैठे थे महफ़िल में हम सब
और ग़म का कारख़ाना चल रहा था

कुछ नहीं बदला था दुनिया में कभी बस
आदमी का आना जाना चल रहा था

कर रहा था मैं घड़ी तरतीब में तब
वक़्त का भी अपना गाना चल रहा था

जाम उसके तर्ज़ पर ही था बनाया
देखो फिर भी उसका ना ना चल रहा था

कोई मेरी आँख की पुतली से पूछे
ख़्वाब में कैसा ज़माना चल रहा था

लौट आए सब उसे बस देख कर के
आग पर जो इक दिवाना चल रहा था

लोग पानी जब बहाने में लगे थे
मेरा साहिल को मिलाना चल रहा था

मैं था तुम थे वक़्त रातें चाँदनी थी
इश्क़ भी कितना सुहाना चल रहा था

गुम थे अपने दर्दो-ग़म में इसलिए सब
क्योंकि सय्यद का फ़साना चल रहा था

- Aves Sayyad
3 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari