jahaan ki sarfaroo mein mar gaye the ham
yahan yun faaltu mein mar gaye the ham
usi ke roobroo the umr bhar aur phir
usi ki justajoo mein mar gaye the ham
sar-e-turbat hamaari rak's kar baitha
vo jis se guftugoo mein mar gaye the ham
laga kar khudkushi ke phool gamle mein
khud apne haav-hoo mein mar gaye the ham
kisi ke ishq ne zinda kiya hamko
kisi ki aarzoo mein mar gaye the ham
koi hoga hasi jisko mayassar hai
labon ki aabroo mein mar gaye the ham
kabhi yun bhi the nikle hazrat-e-sayyad
ki unki rang-o-boo mein mar gaye the ham
जहाँ की सरफ़रू में मर गए थे हम
यहाँ यूँ फ़ालतू में मर गए थे हम
उसी के रूबरू थे उम्र भर और फिर
उसी की जुस्तजू में मर गए थे हम
सर-ए-तुर्बत हमारी रक़्स कर बैठा
वो जिस से गुफ़्तुगू में मर गए थे हम
लगा कर ख़ुदकुशी के फूल गमले में
ख़ुद अपने हाव-हू में मर गए थे हम
किसी के इश्क़ ने ज़िंदा किया हमको
किसी की आरज़ू में मर गए थे हम
कोई होगा, हँसी जिसको मयस्सर है
लबों की आबरू में मर गए थे हम
कभी यूँ भी थे निकले हज़रत-ए-सय्यद
कि उनकी रंग-ओ-बू में मर गए थे हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aves Sayyad
our suggestion based on Aves Sayyad
As you were reading Environment Shayari Shayari