zara si baat hone par kabhi sehra nahin jaate
ruko tum bas yahin paagal ajee sehra nahin jaate
udaata dhool ik khat mere ghar aaya kisi ka aur
likha hai mujh ko sehra se kabhi sehra nahin jaate
khala veeraani vehshat rak's karte hain wahan par sab
suno meri pahaadon ki pari sehra nahin jaate
hamein mil jaata hai koi wasila hijr mein ab to
miyaan karte hain beshak aashiqi sehra nahin jaate
samandar hi samajhta hai kisi ke pyaas ki shiddat
samandar mein utaaro tashtari sehra nahin jaate
teri biwi hai bacche bhi hain aur maa baap bhi boodhe
ho jaayegi yahan bhi bandagi sehra nahin jaate
kata jaata tha inka pet tera paani pee pee kar
yahan ke log varna poorvi sehra nahin jaate
mujhi mein khauf in veeraaniyon ka itna hai ab to
meri vehshat hai andar cheekhti sehra nahin jaate
zameen sookhi padi hai aasmaan hai aag ka paikar
kaha baadal ne ham ko sahiri sehra nahin jaate
deewano ke paseene se banaai jaati hai mitti
suno mohtarma ho ke baavli sehra nahin jaate
le jaate hain khala mitti sabhi bhar bhar ke jholi mein
magar ham chhod kar ye maadri sehra nahin jaate
ghazal goonje hamaari dasht ke in kaarkhaanon mein
alag ye baat karne shayari sehra nahin jaate
suno sayyad muhabbat saari mar jaati hai daftar mein
hamaare ahad ke majnoon kabhi sehra nahin jaate
ज़रा सी बात होने पर कभी सहरा नहीं जाते
रुको तुम बस यहीं पागल अजी सहरा नहीं जाते
उड़ाता धूल इक ख़त मेरे घर आया किसी का और
लिखा है मुझ को सहरा से कभी सहरा नहीं जाते
ख़ला, वीरानी, वहशत, रक़्स करते हैं वहाँ पर सब
सुनो मेरी पहाड़ों की परी सहरा नहीं जाते
हमें मिल जाता है कोई वसीला हिज्र में अब तो
मियाँ करते हैं बेशक आशिक़ी सहरा नहीं जाते
समंदर ही समझता है किसी के प्यास की शिद्दत
समंदर में उतारो तश्तरी सहरा नहीं जाते
तेरी बीवी है बच्चे भी हैं और माँ बाप भी बूढ़े
हो जाएगी यहाँ भी बंदगी सहरा नहीं जाते
कटा जाता था इनका पेट तेरा पानी पी पी कर
यहाँ के लोग वरना पूर्वी सहरा नहीं जाते
मुझी में ख़ौफ़ इन वीरानियों का इतना है अब तो
मेरी वहशत है अंदर चीख़ती सहरा नहीं जाते
ज़मीं सूखी पड़ी है आसमाँ है आग का पैकर
कहा बादल ने हम को साहिरी सहरा नहीं जाते
दिवानों के पसीने से बनाई जाती है मिट्टी
सुनो मोहतरमा हो के बावली सहरा नहीं जाते
ले जाते हैं ख़ला मिट्टी सभी भर भर के झोली में
मगर हम छोड़ कर ये मादरी सहरा, नहीं जाते
ग़ज़ल गूँजे हमारी दश्त के इन कारख़ानों में
अलग ये बात करने शायरी सहरा नहीं जाते
सुनो सय्यद मुहब्बत सारी मर जाती है दफ़्तर में
हमारे अहद के मजनूँ कभी सहरा नहीं जाते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aves Sayyad
our suggestion based on Aves Sayyad
As you were reading Samundar Shayari Shayari